Posts

Aqaaid Part 71

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 71 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Kya Jannatiyon ko Jannat mein kabhi maut aayegi? *❧ Jawaab :​* Nahin ! Balke Jannati Jannat mein hamesha hamesh raheinge. πŸ““[Tirmizi: 2557] *❧ Sawaal :​* Jahannam kaisi jagah hai? *❧ Jawaab :​* Jahannam nihaayat hi takleef ki jagah hai. πŸ““[Sura-e-Naba: 21-25] *❧ Sawaal :​* Jahannam kis ke liye tayyaar ki gayi hai? *❧ Jawaab :​* Jahannam kaafiron aur mushrikon ke liye tayyaar ki gayi hai. πŸ““[Sura-e-Aal-e-Imraan: 131, Sura-e-Baiyyinah: 6] *❧ Sawaal :​* Jahannam mein kya kya hoga? *❧ Jawaab :​* Jahannam mein bade bade saanp aur bichchhu honge, peene ke liye khaulta huwa paani aur peep aur khaane ke liye kaantedaar darakht honge. πŸ““[Musnad-e-Ahmad: 17712, Sura-e-Saad: 57]    *[[..Alhamdulillah Mukammal..]]*    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book *πŸ‘‡πŸΏPichle tam

Aqaaid Part 70

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 70 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Hisaab lene ke baad kya hoga? *❧ Jawaab :​* Hisaab lene ke baad Jannat aur Jahannam ka faisla hoga. πŸ““[Sura-e-Mominoon: 102, 103] *❧ Sawaal :​* Jannat kaisi jagah hai? *❧ Jawaab :​* Jannat nihaayat hi aaraam ki jagah hai. πŸ““[Sura-e-Dahar: 12-14] *❧ Sawaal :​* Jannat kis ke liye tayyaar ki gayi hai? *❧ Jawaab :​* Jannat Imaan waalon ke liye tayyaar ki gayi hai. πŸ““[Surah-e-Nisa: 57] *❧ Sawaal :​* Jannatiyon ko kaun kaun si nematein mileingi? *❧ Jawaab :​* Jannatiyon ko Jannat mein sone, chaandi ki eenton ke mahallaat, doodh aur shahed ki nehrein, har qism ke phal aur phool aur jin cheezon ki Jannati tamanna kareinge woh sab mileingi. πŸ““[Sura-e-Zukhruf: 71, Sura-e-Muhammad: 15, Tirmizi: 2526]   [[..Last - 71, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Cou

Aqaaid Part 69

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 69 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Ba'as ba'adal maut (marne ke baad dobaara zinda hona) kise kehte hain? *❧ Jawaab :​* Jab qayaamat mein saari cheezein fana ho jaayeingi aur Hazrat Israafeel Alaihissalam doosri martaba soor phoonkeinge phir Allah Ta'ala ke hukm se saara aalam dobaara paida hoga aur tamaam murda insaan aur haiwaan zinda ho jaayeinge aur maut ke baad ki zindagi shuru ho jaayegi, isi ko "Baas ba'adal maut" (Marne ke baad dobaara zinda hona) kehte hain. πŸ““[Sura-e-Yaaseen: 51] *❧ Sawaal :​* Kya marne ke baad dobaara zinda karna Allah Ta'ala ke liye mushkil hai? *❧ Jawaab :​* Marne ke baad dobaara zinda karna Allah Ta'ala ke liye koi mushkil nahin. πŸ““[Sura-e-Qiyaama: 4] *❧ Sawaal :​* Dobaara zinda hone ke baad kya hoga? *❧ Jawaab :​* Dobaara zinda

Aqaaid Part 68

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 68 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Jin cheezon ka hona muqaddar hai kya unko koi rok sakta hai? *❧ Jawaab :​* Jin cheezon ka hona muqaddar hain un ko koi rok nahin sakta. πŸ““[Abu Dawood: 4700] *❧ Sawaal :​* Taqdeer ke baare mein hamein kya taaleem di gayi hai? *❧ Jawaab :​* Taqdeer ke baare mein hamein taaleem di gayi hai ke us ke baare mein koi bahes aur hujjat na karein. πŸ““[Tirmizi: 2133] *❧ Sawaal :​* Pehli ummatein kyun halaak huweein? *❧ Jawaab :​* Pehli ummaten taqdeer ke baare mein bahes aur hujjat karne ki wajah se halaak huweein. πŸ““[Tirmizi: 2133] *❧ Sawaal :​* Kya marne ke baad dobaara zinda hona hai? *❧ Jawaab :​* Ji haan, marne ke baad dobaara zinda hona hai. πŸ““[Sura-e-Saaffaat: 16-18]   [[..Next - 69, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​

Aqaaid Part 67

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 67 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Taqdeer kise kehte hain? *❧ Jawaab :​* Saare aalam mein jo kuchh huwa, hota hai aur hoga, tamaam cheezon ka Allah Ta'ala ko pehle se ilm hai, Allah Ta'ala ke isi ilm ko "Taqdeer" kehte hain. πŸ““[Sharahul Aqeedah At Tahaawiyah: 272] *❧ Sawaal :​* Achchhe bure haalaat sab kis ki taraf se hain?  *❧ Jawaab :​* Achchhe bure haalaat sab Allah Ta'ala ki taraf se hain. πŸ““[Sura-e-Nisa: 78] *❧ Sawaal :​* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye? *❧ Jawaab :​* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to Allah Ta'ala ka shukr ada karna chaahiye. πŸ““[Sahih Muslim: 7692] *❧ Sawaal :​* Agar bure haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye? *❧ Jawaab :​* Agar bure haalaat pesh aayein, to tauba wa istigfaar karna chaahiye. πŸ““[Sahih Muslim:

Aqaaid Part 66

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 66 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Kya hamaare paigambar ο·Ί ne qayaamat ki kuchh nishaaniyaan bataai hain jin ko dekh kar qayaamat ka qareeb aana maaloom ho sakta hai? *❧ Jawaab :​* Ji haan. πŸ““[Sahih Muslim: 102] *❧ Sawaal :​* Qayaamat ki nishaaniyaan kya hain? *❧ Jawaab :​* Qayaamat ki bahot si nishaaniyaan hain jaise : Duniya mein gunaah ziyaada honge, log apne maan baap ki na farmaaniyaan kareinge, naach gaana aam ho jaayega, Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu zaahir honge, kaana Dajjaal niklega, us ko qatl karne ke liye Hazrat Isa Alaihissalam aasmaan se utreinge, Yaajooj Maajooj nikleinge, sooraj magrib se niklega, Qur'aan Majeed uthha liya jaayega, saare musalmaan mar jaayeinge aur tamaam duniya kaafiron se bhar jaayegi, jab yeh saari cheezein ho-jaayeingi to us waqt Hazrat Israafeel Alaihis

Aqaaid Part 65

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 65 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Qayaamat ka din kise kehte hain? *❧ Jawaab :​* Jis din tamaam insaan mar jaayeinge, zameen -o-aasmaan aur poori kaainaat tabaah-o-barbaad ho jaayegi, us din ko "Qayaamat ka din" kehte hain. πŸ““[Sura-e-Haaqqa: 13-16] *❧ Sawaal :​* Tamaan insaan aur jaandaar kaise mar jaayeinge? *❧ Jawaab :​* Hazrat Israafeel Alaihissalam soor phoonkeinge, jis ki daraawni aawaaz se sab mar jaayeinge aur har cheez toot phoot kar fana ho jaayegi. πŸ““[Sura-e-Zumar: 68] *❧ Sawaal :​* Qayaamat kab aayegi? *❧ Jawaab :​* Us ka thheek waqt Allah Ta'ala ke alaawa koi nahin jaanta. πŸ““[Sura-e-Luqmaan: 34]   [[..Next - 66, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅