Aqaaid Part 22

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 22 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

*✾ Marne ke baad dobaara zinda hona ✾*

​❧ Ba'as Ba'adal Maut ke maana hain marne ke baad dobaara zinda kar ke uthhaaya jaana. Qayaamat ke din Hazrat Israafeel Alaihissalam jab pehli martaba soor phoonkeinge to tamaam jaandaar mar jaayeinge aur phir Hazrat Israafeel Alaihissalam ko bhi Allah Ta'ala maut de denge, ek muddat ke baad Allah Ta'ala Hazrat Israafeel Alaihissalam ko zinda karenge, phir woh dobaara soor phoonkeinge, jis se tamaam log dobaara zinda ho jaayenge, isi ko "Ba'as Ba'adal Maut" kehte hain.

📓[Sharahul Aqeedatit Tahaawiyya Li Saaleh bin Abdil Azeez: 1/534]

​❧ Sab se pehle hamaare Nabi ﷺ qabr-e-mubaarak se is tarah baahar tashreef laayeinge ke Aap ﷺ ke daahine haath mein Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziyAllahu Anhu ka haath hoga aur baayein haath mein Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ka haath hoga.

📓[Ibne Maaja: 4308; Tirmizi: 3669]

  [[..Next - 23, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Comments

Popular posts from this blog

Aqaaid Part 69

Aqaaid Part 28

Aqaaid Part 1