Aqaaid Part 28
✯✰✮
✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
*```✧ Aqaaid ✧```*
*❆ Part - 28 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Mo’ajizah ✾*
❧ Huzoor ﷺ ko bhi beshumaar mo'ajizaat ata kiye gaye, jin mein se do mo’ajize maaroof wa mash-hoor hain:
*(1) Meraaj :* Allah Ta'ala ke hukm se Huzoor ﷺ raat ko bedaari ki haalat mein Hazrat Jibraeel Alaihissalam ke saath Makkah Muazzamah se Baitul Muqaddas gaye aur phir wahaan se saaton aasmaanon par aur jahaan tak Allah Ta’ala ko manzoor tha wahaan tak tashreef le gaye, usi raat mein Jannat aur Dozakh ki sair ki aur phir apne maqaam par waapas aagaye, isi ko “Me'araaj” kehte hain.
📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Ibne Abil Iz: 1/223; Sahih Muslim: 429]
*(2) Shaqqe Qamar :* Ek raat kuffaare Makkah ne Huzoor Akram ﷺ se kaha ke hamein koi Mo’ajizah dikhaaiye to Huzoor ﷺ ne ungli se chaand ki taraf ishaara kiya, jis se chaand ke 2 tukde ho gaye, sab haazireen ne 2 tukde dekh liye, phir woh donon tukde aapas mein mil gaye aur chaand jaisa tha waisa hi hogaya, isi ko “Shaqqe Qaamar” ka Mo'ajizah kehte hain.
📓[Sahih Bukhaari: 3868]
[[..Next - 29, Soon In sha Allah..]]
✍🏻 Ref: Deeniyat Course book
*Download App* goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅
Comments
Post a Comment