Aqaaid Part 36

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 36 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

          *​✾ ​Alaamaate Sugra ✾*

❧ Huzoor ﷺ ki paidaaish se lekar Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ke zaahir hone tak jo bhi alaamatein aur nishaaniyaan zaahir hongi, un ko “Alaamaate Sugra” kehte hain.

📓[Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/49; Al Imaan Haqeeqatuhu, Khawaarimuhu, Nawaaqizuhu Inda Ahlis Sunnati Wal Jama'ah: 1/83]

*❧ Alaamaate Sugra yeh hain:*

(1) Ilm ka uthh jaana aur jihaalat ka badh jaana.

(2) Zina kaari, sharaab khori aur qatl wa gaaratgiri ka aam hona.

(3) Aurton ka ziyaada hona aur mardon ka kam hona.

(4) Zalzalon ka aana.

(5) Logon ka oonchi oonchi imaaratein banaana.

(6) Amal mein kotaahi aur dil mein laalach ka badh jaana.

(7) Gaane bajaane ke saamaan aur gaane waali aurton ka aam hojaana.

(8) Maan ki naafarmaani karna aur biwi ki ita'at karna.

(9) Doston ko qareeb bithhaana aur baap ko door karna.

(10) Bad akhlaaq, Harees aur na ahel logon ko bade bade ohde milna aur khauf ki wajah se aise logo ki taazeem kiya jaana.

(11) Ummat ke pichhle logon ka aglon par la'an ta'an karna.

(12) Zakaat ko taawaan (bojh) samajhna.

(13) Masjidon mein duniya ki baaton ka shor hona.

📓[Bukhaari: 5231; Bukhaari: 7121; Tirmizi: 2210]

  [[..Next - 37, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Comments

Popular posts from this blog

Aqaaid Part 69

Aqaaid Part 28

Aqaaid Part 1