Aqaaid Part 40

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 40 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

                  *​✾  ​Barzakh  ✾*

❧ Theek jawaab dene ke baad pehle us ke saamne dozakh ka manzar pesh kiya jaata hai aur kaha jaata hai ke tumhaara thhikaana yahaan hota magar Allah ne tum ko is se bachaaliya, phir use Jannat ka nazaara karaaya jaata hai, us ke liye jannat ke bichhawne bichhaaye jaate hain, us ko Jannat ke kapde pehnaaye jaate hain, Jannat ka darwaaza khol diya jaata hai, us ki qabr kushaada kardi jaati hai aur khoobsoorat chehre, behtareen libaas aur umdah khushbooh mein us ka nek amal us ke saamne haazir hota hai, is ke baad woh (khushi mein) kehta hai: Aye Rab! Qayaamat qaaim farma, aye Rab! Qayaamat qaaim farma; Taake main apne ahl-o-ayaal aur maal (Jannat ki hooron aur us ki nematon) mein pahonch jaaoon.

❧ Aur agar murda imaan waala nahin hai, to Munkar Nakeer ke tamaam sawaalon ke jawaab mein cheekhta chillaata huwa yahi kehta hai ke mujhe kuchh khabar nahin, is naakaami ke baad pehle us ko Jannat ka manzar dikhaaya jaata hai aur kaha jaata hai ke agar tum imaan laate aur nek aamaal karte, to tumhaara thhikaana yahaan hota, phir us par Allah Ta’ala ka azaab musallat ho jaata hai, us ke neeche aag bichhaadi jaati hai, us ke liye dozakh ka darwaaza khol diya jaata hai, farishte lohe ke hathodon se us ko aisa maarte hain ke jinnaat aur insaan ke alaawa sab us ki aawaaz sunte hain, qabr us ko is qadr bheenchti hai ke us ki pasliyaan ek doosre mein ghus jaati hain, is ke baad badsoorat, kharaab kapde aur badbu mein us ka amal zaahir hota hai, to woh kehta hai ke aye Rab! Qayaamat qaaim na farma.

📓[Musnade Ahmad: 18534 ; Musnade Ahmad: 14722 ; Musnade Ahmad: 12271]

  [[..Next - 41, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Comments

Popular posts from this blog

Aqaaid Part 69

Aqaaid Part 28

Aqaaid Part 1