Posts

Showing posts from October, 2016

Aqaaid Part 10

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 10 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Farishte  ✾* ❧ In mein 4 farishte bahot mash'hoor wa muqarrab hain: 1) Hazrat Jibraeel Alaihissalam. 2) Hazrat Meekaaeel Alaihissalam. 3) Hazrat Israafeel Alaihissalam. 4) Hazrat Izraaeel Alaihissalam. 📓 [Umdatul Qaari : 22/458] *(1)* Hazrat Jibraeel Alaihissalam Allah Ta'ala ke ahkaam, kitaabein aur paigaamaat Rasoolon ke paas laate the. 📓[Sharahul Arbaeen Nawawiyyah: 6/3; Al Bidaaya Wannihaaya: 1/46] *(2)* Hazrat Meekaaeel Alaihissalam Allah Ta'ala ki tamaam makhlooq ko rozi ponhchaane aur baarish wagaira ke intezaamaat par muqarrar hain, un ki maatahati mein beshumaar farishte kaam karte hain, baaz baadalon ke intezaam par muqarrar hain, baaz hawaaon, bijli aur kadak wagaira par aur baaz daryaaon, taalaabon aur nehron wagaira par muqarrar hain. Woh tamaam cheezon ka

Aqaaid Part 09

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 09 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Farishte  ✾* ❧ Farishte Allah Ta'ala ki nooraani makhlooq aur us ke muazzaz bande hain, woh gunaahon se paak hain, din raat Allah Ta'ala ki ibaadat mein mashgool rehte hain, jin kaamon par Allah Ta'ala ne un ko laga diya hai, un hi mein lage rehte hain, kabhi Allah Ta'ala ki naafarmaani nahin karte. ❧ Qur'aan mein hai: Farishte Allah ke kisi hukm mein us ki naafarmaani nahin karte aur wahi karte hain jis ka unhein hukm diya jaata hai. 📓 [Sura-e-Tahreem: 6] ❧ Farishte na mard hain na aurat, woh khaane peene ke mohtaaj nahin, un ki giza apne rab ki ibaadat wa bandagi karna aur us ke ahkaam ko baja laana hai, woh ibaadat se uklaate nahin hain, woh ibaadat se takabbur aur aar nahin karte, Allah Ta'ala ne un ko shaklein badalne ki taaqat de rakhi hai, kabhi woh insaan

Aqaaid Part 08

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 08 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Tauheed  ✾* ❧ Allah ek hai, woh apni zaat wa sifaat mein akela hai, Allah Ta'ala ki zaat wa sifaat mein koi us ke maanind nahin, woh badi qudrat waala hai, har cheez us ki qudrat se qaaim hai, woh jis ko nafa aur faaida pohnchaane ka iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi us ko nuqsaan nahin pohncha sakte aur woh jis ko nuqsaan pohnchaane ka iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi us ko nafa nahin ponhcha sakte, ❧ Qur'aan mein hai: Aur agar tumhein Allah koi takleef ponhcha de to us ke siwa koi nahin jo use door kar de aur agar woh tumhein bhalaai ponhchaane ka iraada kar le to koi nahin hai jo us ke fazl ka rukh pher de. 📓 [Sura-e-Yunus: 107] ❧ Allah Ta'ala ko kisi saamaan aur madadgaar ki zaroorat nahin, sab us ke mohtaaj hain, woh kisi ka mohtaaj na

Aqaaid Part 07

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 07 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅          *✾ Imaan-e-Mufassal ✾* اَمَنْتُ بِاللهِ وَمَلَئِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ وَالْيَوْمِ الْاَخِرِ وَالْقَدْرِ خَيْرِهِ وَشَرِّهِ مِنَ اللهِ تَعَالَى وَالْبَعْثِ بَعْدَالْمَوْتِ ❧ Aamantu billaahi wa malaaikatihee wa kutubihee wa rusulihee walyaumil aakhiri walqadri khairihee wa sharrihee minallaahi ta'aalaa walba'asi ba'adal maut. *❧ Tarjama :* Main Imaan laaya Allah par aur us ke Farishton par aur us ki Kitaabon par aur us ke Rasoolon par aur Qayaamat ke din par aur is baat par ke achchhi aur buri taqdeer Allah Ta'ala ki taraf se hoti hai aur maut ke baad dobaara zinda kiye jaane par.   [[..Next - 08, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book             ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 06

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 06 ❆*  ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅         *✾ Kalima-e-Istigfaar ​✾* اَللَّهُمَّ اِنّىْ أَعُوْذُ بِكَ أَنْ أُشْرِكَ بِكَ شَيئًا وََّ أَنَا أَعْلَمُهُ وَأَسْتَـغْفِرُكَ لِمَا لاأَعْـلَمُ ❧ Allaahumma innee a'oozubika an ushrika bika shaiaun wa-ana a'alamuhoo wa astagfiruka limaalaa a'alam. *❧ Tarjama :* Aye Allah ! Main teri panaah chaahta hoon is baat se ke main tere saath kisi ko shareek karoon, is haal mein ke main us ko jaanta hoon aur aise gunaah se bhi maafi chaahta hoon jis ko main nahin jaanta.    📓 [Majma'uz Zawaaid : 17670]  ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *✾ Imaan-e-Mujmal ✾*  اَمَنْتُ بِاللهِ كَمَا هُوَ بِأَسْمَائِهِ وَصِفَاتِهِ وَقَبِلْتُ جَمِيْعَ أَحْكَامِهِ ❧  Aamantu billaahi kamaa huwa bi-asmaa-ihee wasifaatihee waqabiltu jamee-‘a ahkaamih. *❧ Tarjama :* Main Imaan laaya Allah par jaisa ke woh apne naamon aur sifaton ke saath h

Aqaaid Part 05

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 05 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅         *✾ Kalima-e-Tamjeed ​✾* سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَقُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ ‏الْعَلِىّ الْعَظِيْم ❧ Subhaanallaahi walhamdu lillaahi walaa ilaaha illallaahu wallaahu akbar walaa haula walaa quwwata illaabillaahil aliyyil‘azeem *❧ Tarjama :* Allah har aib se paak hai aur tamaam ta’areefein Allah ke liye hain aur Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur Allah sab se bada hai, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah hi ki taraf se hai, jo bahot buland azmat waala hai. 📓 [Abu Daawood : 832] ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅         *✾ Kalima-e-Tauheed ✾* لَآ إِِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ يُحْى وَ يُمِيْتُ بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَهُوَ عَلى كُلِّ شَيءٍ قَدِيْرٌ ❧  Laa ilaah

Aqaaid Part 4

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 04 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅        *✾ Kalima-e-Taiyyibah ​✾*            لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِ ❧ La ilaaha illallaahu Muhammadur rasoolullaah. *❧ Tarjama :* Allah ke siwa koi ma'abood nahin, (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain. 📓 [Tabraani Sageer : 992] ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅        *✾ Kalima-e-Shahaadat ✾* اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُهٗ ❧ Ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhoo wa rasooluh. *❧ Tarjama :* Main gawaahi deta hoon ke Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur us ke Rasool hain. 📓 [Mustadrak : 9]   [[..Next - 05, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book          *✭ Join Islamic Group ✭*             ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 3

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 03 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ ❧ Maslan agar koi aadmi Allah ko na maane, us ke saath kufr wa shirk kare, ya Huzoor ﷺ ko aakhri Nabi aur Rasool tasleem na kare aur Aap ﷺ ke baad kisi bhi tarah se Nabi ke aane ka aqeeda rakhe, to phir woh shakhs chaahe jitna achchha kaam kare, Allah Ta'ala ke yahaan badle ka mustahiq nahin hoga aur use koi sawaab nahin milega. ❧ Is liye hamein aqaaid par poori mazbooti ke saath jame rehne aur un ko apne dil mein bithha lene ki zaroorat hai, taake hamaara Imaan durust rahe, Allah ke nazdeek hamaara amal qubool ho aur phir hamein us ka behtareen badla naseeb ho. ❧ Aqaaid mein Islaam ke paanch kalime, Imaan-e-Mujmal aur Imaan-e-Mufassal tarjame ke saath diye gaye hain aur Imaan-e-Mufassal mein zikr kiye gaye 7 bunyaadi aqaaid (Tauheed, Farishte, Aasmaani Kitaabein, Ambiya, Aakhirat, Taqdeer aur Ba'as B

Aqaaid Part 2

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 02 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ ❧ Qur‘aan wa Hadees mein bhi aqaaid ke mutaalliq baatein intehaai wazaahat ke saath aur bade muassir andaaz mein bayaan ki gai hain, jaise Allah ki wahdaaniyat aur us ki zaat wa sifaat par Imaan laana, aasmaani kitaabon aur Rasoolon ke barhaq hone ka yaqeen rakhna, Aap ﷺ ke aakhri Nabi hone aur Qur’aan ke aakhri aasmaani kitaab hone ka aqeeda rakhna aur farishton aur aakhirat ke din par Imaan laana wagaira. ❧ Ek jagah Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya: Aye Imaan waalo! Allah par Imaan rakho, aur us ke Rasoolon par aur us kitaab par jo Allah ne apne Rasool par utaari hai aur har us kitaab par jo us ne pehle utaari thi. Aur jo shakhs Allah ka, us ke farishton ka, us ki kitaabon ka, us ke Rasoolon ka aur Yaum-e-Aakhirat ka inkaar kare, to woh bhatak kar gumraahi mein bahot door ja pada.            [Sura-e-Nis

Aqaaid Part 1

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 01 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *❧ Aqaaid :* Aadmi jin Deeni baaton par dil se yaqeen rakhta hai, un ko "Aqaaid" kehte hain. *❧ Hadees :* Hazrat Umar Raziy Allahu Anhu bayaan karte hain ke ham Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir the, ek shakhs ne aa kar Aap ﷺ se daryaaft kiya ke mujhe bataaiye Imaan kya hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Imaan yeh hai ke tum Allah ko, us ke farishton ko, us ki kitaabon ko, us ke Rasoolon ko aur Qayaamat ke din ko haq jaano, haq maano aur har achchhi buri tqdeer ko bhi haq jaano, haq maano.            [Sahih Muslim : 102] ❧ Islaam mein aqaaid ki bahot ziyaada ahmiyat hai, balke Deen ki bunyaad hi aqaaid par rakhi gai hai, yahi wajah hai ke jab bhi kisi qaum ke aqaaid mein fasaad aur bigaad paida huwa, to un ki islaah ke liye Allah Ta'ala ne Nabi aur Rasool ko mab'oos farmaaya, saare paigambaron ne a