Posts

Showing posts from 2016

Aqaaid Part 69

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 69 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Ba'as ba'adal maut (marne ke baad dobaara zinda hona) kise kehte hain? *❧ Jawaab :​* Jab qayaamat mein saari cheezein fana ho jaayeingi aur Hazrat Israafeel Alaihissalam doosri martaba soor phoonkeinge phir Allah Ta'ala ke hukm se saara aalam dobaara paida hoga aur tamaam murda insaan aur haiwaan zinda ho jaayeinge aur maut ke baad ki zindagi shuru ho jaayegi, isi ko "Baas ba'adal maut" (Marne ke baad dobaara zinda hona) kehte hain. 📓[Sura-e-Yaaseen: 51] *❧ Sawaal :​* Kya marne ke baad dobaara zinda karna Allah Ta'ala ke liye mushkil hai? *❧ Jawaab :​* Marne ke baad dobaara zinda karna Allah Ta'ala ke liye koi mushkil nahin. 📓[Sura-e-Qiyaama: 4] *❧ Sawaal :​* Dobaara zinda hone ke baad kya hoga? *❧ Jawaab :​* Dobaara zinda

Aqaaid Part 68

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 68 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Jin cheezon ka hona muqaddar hai kya unko koi rok sakta hai? *❧ Jawaab :​* Jin cheezon ka hona muqaddar hain un ko koi rok nahin sakta. 📓[Abu Dawood: 4700] *❧ Sawaal :​* Taqdeer ke baare mein hamein kya taaleem di gayi hai? *❧ Jawaab :​* Taqdeer ke baare mein hamein taaleem di gayi hai ke us ke baare mein koi bahes aur hujjat na karein. 📓[Tirmizi: 2133] *❧ Sawaal :​* Pehli ummatein kyun halaak huweein? *❧ Jawaab :​* Pehli ummaten taqdeer ke baare mein bahes aur hujjat karne ki wajah se halaak huweein. 📓[Tirmizi: 2133] *❧ Sawaal :​* Kya marne ke baad dobaara zinda hona hai? *❧ Jawaab :​* Ji haan, marne ke baad dobaara zinda hona hai. 📓[Sura-e-Saaffaat: 16-18]   [[..Next - 69, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​

Aqaaid Part 67

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 67 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Taqdeer kise kehte hain? *❧ Jawaab :​* Saare aalam mein jo kuchh huwa, hota hai aur hoga, tamaam cheezon ka Allah Ta'ala ko pehle se ilm hai, Allah Ta'ala ke isi ilm ko "Taqdeer" kehte hain. 📓[Sharahul Aqeedah At Tahaawiyah: 272] *❧ Sawaal :​* Achchhe bure haalaat sab kis ki taraf se hain?  *❧ Jawaab :​* Achchhe bure haalaat sab Allah Ta'ala ki taraf se hain. 📓[Sura-e-Nisa: 78] *❧ Sawaal :​* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye? *❧ Jawaab :​* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to Allah Ta'ala ka shukr ada karna chaahiye. 📓[Sahih Muslim: 7692] *❧ Sawaal :​* Agar bure haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye? *❧ Jawaab :​* Agar bure haalaat pesh aayein, to tauba wa istigfaar karna chaahiye. 📓[Sahih Muslim:

Aqaaid Part 66

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 66 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Kya hamaare paigambar ﷺ ne qayaamat ki kuchh nishaaniyaan bataai hain jin ko dekh kar qayaamat ka qareeb aana maaloom ho sakta hai? *❧ Jawaab :​* Ji haan. 📓[Sahih Muslim: 102] *❧ Sawaal :​* Qayaamat ki nishaaniyaan kya hain? *❧ Jawaab :​* Qayaamat ki bahot si nishaaniyaan hain jaise : Duniya mein gunaah ziyaada honge, log apne maan baap ki na farmaaniyaan kareinge, naach gaana aam ho jaayega, Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu zaahir honge, kaana Dajjaal niklega, us ko qatl karne ke liye Hazrat Isa Alaihissalam aasmaan se utreinge, Yaajooj Maajooj nikleinge, sooraj magrib se niklega, Qur'aan Majeed uthha liya jaayega, saare musalmaan mar jaayeinge aur tamaam duniya kaafiron se bhar jaayegi, jab yeh saari cheezein ho-jaayeingi to us waqt Hazrat Israafeel Alaihis

Aqaaid Part 65

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 65 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Qayaamat ka din kise kehte hain? *❧ Jawaab :​* Jis din tamaam insaan mar jaayeinge, zameen -o-aasmaan aur poori kaainaat tabaah-o-barbaad ho jaayegi, us din ko "Qayaamat ka din" kehte hain. 📓[Sura-e-Haaqqa: 13-16] *❧ Sawaal :​* Tamaan insaan aur jaandaar kaise mar jaayeinge? *❧ Jawaab :​* Hazrat Israafeel Alaihissalam soor phoonkeinge, jis ki daraawni aawaaz se sab mar jaayeinge aur har cheez toot phoot kar fana ho jaayegi. 📓[Sura-e-Zumar: 68] *❧ Sawaal :​* Qayaamat kab aayegi? *❧ Jawaab :​* Us ka thheek waqt Allah Ta'ala ke alaawa koi nahin jaanta. 📓[Sura-e-Luqmaan: 34]   [[..Next - 66, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 64

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 64 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Hamaare Nabi ﷺ ke baad jo shakhs apne Nabi hone ka daawa kare woh kaisa hai? *❧ Jawaab :​* Hamaare Nabi ﷺ ke baad jo shakhs apne Nabi hone ka daawa kare woh sab se bada jhoota hai. 📓[Mustadrak: 8390] *❧ Sawaal :​* Tamaam nabiyon mein sab se afzal kaun hain? *❧ Jawaab :​* Tamaam nabiyon mein sabse afzal hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain. 📓[Sahih Muslim: 1195] *❧ Sawaal :​* Rasoolon par Imaan laane ka kya matlab hai? *❧ Jawaab :​* Rasoolon par Imaan laane ka matlab yeh hai ke ham un sab ko Allah ka sachcha rasool samjhein. 📓[Sura-e-baqarah: 285]   [[..Next - 65, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 63

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 63 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Hamaare Nabi ka naam kya hai? *❧ Jawaab :​* Hamaare Nabi ka naam Hazrat “Muhammad" ﷺ hai. 📓[Sura-e-Ahzaab: 40] *❧ Sawaal :​* Sab se pehle Nabi kaun hain? *❧ Jawaab :​* Sab se pehle Nabi Hazrat Aadam Alaihissalam hain. 📓[Musnad Ahmad: 21552] *❧ Sawaal :​* Sab se aakhri Nabi kaun hain? *❧ Jawaab :​* Sab se aakhri Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain. 📓[Sura-e-Ahzaab: 40] *❧ Sawaal :​* Kya hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ke baad qayaamat tak koi naya Nabi aayega? *❧ Jawaab :​* Hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ke baad qayaamat tak koi naya Nabi nahin aayega. 📓[Bukhaari: 3455]   [[..Next - 64, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 62

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 62 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Kya Rasool kabhi jhoot bolte hain? *❧ Jawaab :​* Nahin, Rasool kabhi jhoot nahin bolte. 📓[Sura-e-Najm: 3-4] *❧ Sawaal :​* Kya Rasool kabhi gunaah karte hain?  *❧ Jawaab :​* Nahin, Rasool gunaahon se paak hote hain. 📓[Mirqaatul Mafaateeh: 1/300] *❧ Sawaal :​* Kya Rasool kabhi kisi paigaam ko chhupaate hain? *❧ Jawaab :​* Nahin, woh Allah ka har paigaam bandon tak pahonchaate hain. 📓[Sura-e-Ahzaab : 39] *❧ Sawaal :​* "Rasool" aur "Nabi" kitne hain? *❧ Jawaab :​* Rasool aur Nabi ki thheek thheek ta'adaad sirf Allah Ta'ala hi jaanta hai. 📓[Sharahut Tahaawiya Li Sadruddin: 2/234]   [[..Next - 63, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 61

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 61 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* "Rasool" kise kehte hain? *❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ke bheje huwe paigambar ko Rasool kehte hain. 📓[Sharahul Aqeedah At Tahaawiya: 1/1656] *❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ne Rasool kyun bheje? *❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ne insaanon ko seedha raasta dikhaane ke liye Rasool bheje. 📓[Sura-e-Talaaq: 11] *❧ Sawaal :​* Rasool kaun hote hain? *❧ Jawaab :​* Rasool, Allah ke bande aur sab se achche insaan hote hain. 📓[Sura-e-Ibrahim: 11-12] *❧ Sawaal :​* Rasool hamein kin baaton ki taaleem dete hain? *❧ Jawaab :​* Rasool hamein achchhi achchhi baaton ki taaleem dete hain. 📓[Sura-e-Aale Imraan: 164]   [[..Next - 62, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 60

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 60 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Qur'aan-e-Majeed ki hifaazat ki zimmedaari kis ne li hai? *❧ Jawaab :​* Quraan-e-Majeed ki hifaazat ki zimmedaari Allah Ta'ala ne le rakhi hai. 📓[Sura-e-Hijr: 9] *❧ Sawaal :​* Aasmaani kitaabon mein sab se afzal kitaab kaun si hai? *❧ Jawaab :​* Aasmaani kitaabon mein sab se afzal kitaab Qur'aan-e-Majeed hai. 📓[Tafseer-e-Sa'adi: 1/234] *❧ Sawaal :​* Ab qayaamat tak kis kitaab par amal karna zaroori hai? *❧ Jawaab :​* Ab qayaamat tak sirf Qur'aan-e-Majeed par amal karna zaroori hai. 📓[Sahih Muslim: 6378] *❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ki kitaabon aur saheefon ke baare mein kya Imaan rakhna chaahiye? *❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ki kitaabon aur saheefon ke baare mein yeh Imaan rakhna chaahiye ke tamaam kitaabein aur saheefe Allah Ta

Aqaaid Part 59

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 59 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* "Qur'aan-e-Majeed" kis Nabi par naazil huwa? *❧ Jawaab :​* Qur'aan-e-Majeed hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ par naazil huwa. 📓[Sura-e-Dahal: 23] *❧ Sawaal :​* "Saheefe" kin paigambaron par naazil huwe? *❧ Jawaab :​* Saheefe Hazrat Shees Alaihissalam, Hazrat Idrees Alaihissalam, Hazrat Ibrahim Alaihissalam aur un ke alaawa doosre paigambaron par naazil huwe. 📓[Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361]    *❧ Sawaal :​* Sab se aakhir mein kaunsi kitaab naazil hui? *❧ Jawaab :​* Sab se aakhir mein Qur'aan-e-Majeed naazil huwa. 📓[Tafseer Bahrul Uloom: 1/586] *❧ Sawaal :​* Kya Quraan-e-Majeed mein koi tabdeeli ho sakti hai? *❧ Jawaab :​* Qur'aan-e-Majeed mein koi tabdeeli nahin ho sakti. 📓[Sura-e-An'aam: 115]   [[..Next - 60, Soon

Aqaaid Part 58

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 58 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Chaar Mashhoor "Aasmaani Kitaabein" kaun kaun si hain? *❧ Jawaab :​* Taurait, Zaboor, Injeel aur Qur'aan-e-Majeed. 📓[Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361] *❧ Sawaal :​* "Taurait" kis Nabi par naazil hui? *❧ Jawaab :​* Taurait Hazrat Moosa Alaihissalam par naazil hui. 📓[Sahih Muslim: 4536]    *❧ Sawaal :​* "Zaboor" kis Nabi par naazil hui? *❧ Jawaab :​* Zaboor Hazrat Dawood Alaihissalam par naazil hui. 📓[Sura-e-Nisa: 163] *❧ Sawaal :​* "Injeel" kis Nabi par naazil hui? *❧ Jawaab :​* Injeel Hazrat Isa Alaihissalam par naazil hui. 📓[Sura-e-Hadeed: 27]   [[..Next - 59, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 57

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 57 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Qabr mein sawaal karne waale farishton ko kya kehte hain? *❧ Jawaab :​* Qabr mein sawaal karne waale farishton ko "Munkar Nakeer" kehte hain. 📓[Tirmizi: 1071]          *✾ Aasmaani Kitaaein ✾* *❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ne kitaabein kyun naazil farmaeein? *❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ne insaanon ki hidaayat ke liye kitaabein naazil farmaeein. 📓[Sura-e-Aal-e-Imraan: 3,4]    *❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ki kitaabein kitni hain? *❧ Jawaab :​* Chhoti badi bahot saari kitaabein hain. 📓[Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361] *❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ki chhoti aur badi kitaabon ko kya kehte hain? *❧ Jawaab :​* Chhoti kitaab ko "Saheefa" aur badi kitaab ko "Kitaab" kehte hain. 📓[Roohul Ma'aani : 30/111]   [[..Next - 58, S

Aqaaid Part 56

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 56 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅            *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Hazrat Israafeel Alaihissalam ka kya kaam hai? *❧ Jawaab :​* Hazrat Israafeel Alaihissalam Qayaamat ke din soor phoonkeinge. 📓[Sho'abul Imaan: 353] *❧ Sawaal :​* Hazrat Izraaeel Alaihissalam ka kya kaam hai? *❧ Jawaab :​* Hazrat Izraaeel Alaihissalam ka kaam makhlooq ki jaan nikaalna hai, jinhein "Malakul Maut" bhi kehte hain. 📓[Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 34969]    *❧ Sawaal :​* Aamal likhne waale farishton ko kya kehte hain? *❧ Jawaab :​* Aamal likhne waale farishton ko "Kiraaman Kaatibeen" kehte hain. 📓[Sura-e-Infitaar: 11] *❧ Sawaal :​* Aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne waale farishton ko kya kehte hain? *❧ Jawaab :​* Aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne waale farishton ko "Hafazah" kehte h

Aqaaid Part 55

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 55 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅             *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Farishte kitne hain? *❧ Jawaab :​* Farishte beshumaar hain, un ki ta'adaad Allah Ta'ala ke alaawa koi nahin jaanta. 📓[Sura-e-Muddassir: 31] *❧ Sawaal :​* Chaar mashhoor farishte kaun kaun se hain? *❧ Jawaab :​* Hazrat Jibraeel Alaihissalam, Hazrat Meekaail Alaihissalam, Hazrat Israafeel Alaihissalam, Hazrat Izraaeel Alaihissalam 📓[Umdatul Qaari: 22/458]    *❧ Sawaal :​* Hazrat Jibraeel Alaihissalam ka kya kaam hai? *❧ Jawaab :​* Hazrat Jibraeel Alaihissalam Allah ki kitaabein aur paigaamaat Rasoolon tak pahonchaate the.  📓[Sharhul Arba'een Navaviyyah Li'atiyah: 6/3] *❧ Sawaal :​* Hazrat Meekaail Alaihissalam ka kya kaam hai? *❧ Jawaab :​* Hazrat Meekaail Alaihissalam ke zimme baarish barsaane aur makhlooq ko rozi pahonchaane ka kaam ha

Aqaaid Part 54

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 54 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅             *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Farishte kaun hain? *❧ Jawaab :​* Farishte Allah Ta'ala ki Nooraani makhlooq hain, jinhein "Malaaika" bhi kehte hain. 📓[Sahih Muslim: 7687] *❧ Sawaal :​* Kya Farishte khaane peene ke mohtaaj hain? *❧ Jawaab :​* Nahin ! Farishte khaane peene ke mohtaaj nahin hain. 📓[Fathul Baari: 9/492]   *❧ Sawaal :​* Kya Farishte Allah Ta'ala ki na farmaani karte hain? *❧ Jawaab :​* Nahin ! Farishte Allah Ta'ala ki na farmaani nahin karte. 📓[Sura-e-Tahreem: 6] *❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ne farishton ko kya taaqat de rakhi hai? *❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ne farishton ko mushkil kaamon ke karne ki taaqat de rakhi hai. 📓[Sura-e-Faatir: 1]   [[..Next - 55, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.g

Aqaaid Part 53

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 53 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅             *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala ka koi shareek hai? *❧ Jawaab :​* Allah Ta’ala ka koi shareek nahin. 📓[Sura-e-An'aam: 163] *❧ Sawaal :​* Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi kaun deta hai? *❧ Jawaab :​* Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi Allah Ta'ala deta hai. 📓[Sura-e-Zaariyaat: 58]  *❧ Sawaal :​* Zindagi, maut, izzat aur zillat kaun deta hai? *❧ Jawaab :​* Zindagi, maut, izzat aur zillat Allah Ta'ala deta hai. 📓[Sura-e-Mulk: 2, Sura-e-Aal-e-Imraan: 26] *❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai? *❧ Jawaab :​* Ji haan ! Allah Ta'ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai. 📓[Sura-e-Asra: 1] *❧ Sawaal :​* Hamein kis ki ibaadat karni chaahiye? *❧ Jawaab :​* Hamein sirf Allah

Aqaaid Part 52

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 52 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅             *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala ke beewi bachche hain? *❧ Jawaab :​* Nahin ! Allah Ta'ala ke beewi bachche nahin hain. 📓[Sura-e-An'aam: 101] *❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala ki kisi se rishtedaari hai? *❧ Jawaab :​* Nahin ! Woh tamaam rishton se paak hai. 📓[Sura-e-Ikhlaas: 3] *❧ Sawaal :​* Kya makhlooq ki tarah Allah Ta'ala ki shakl-o-soorat hai? *❧ Jawaab :​* Nahin ! Allah Ta'ala shakl-o-soorat se paak hai. 📓[Sura-e-Shoora: 11] *❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala khaata, peeta aur sota hai? *❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ko khaane peene aur sone ki zaroorat nahin. 📓[Sura-e-An'aam: 14, Sura-e-Baqarah: 255]   [[..Next - 53, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 51

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 51 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅             *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya kis ne banaaye? *❧ Jawaab :​* Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya Allah Ta'ala hi ne banaaye. 📓[Sura-e-Ankaboot: 61, Sura-e-Qaaf: 38] *❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala ko kisi ne paida kiya? *❧ Jawaab :​* Nahin ! Allah Ta'ala ko kisi ne paida nahin kiya. 📓[Sura-e-Ikhlaas: 3] *❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala kab se hai aur kab tak rahega? *❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala hamesha se hai aur hamesha rahega. 📓[Sura-e-Rahmaan: 27] *❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala ke maan baap hain?  *❧ Jawaab :​* Nahin ! Allah Ta'ala ke maan baap nahin hain. 📓[Sura-e-Ikhlaas: 3]   [[..Next - 52, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course boo

Aqaaid Part 50

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 50 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅             *​✾ Sawaal Jawaab ✾* *❧ Sawaal :​* Hamaara Rab kaun hai? *❧ Jawaab :​* Hamaara Rab Allah hai. 📓[Sura-e-Ha Meem Sajda: 30] *❧ Sawaal :​* Hamein kis ne paida kiya? *❧ Jawaab :​* Hamein Allah Ta'ala ne paida kiya. 📓[Sura-e-Teen: 4] *❧ Sawaal :​* Kya poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya? *❧ Jawaab :​* Ji haan ! Poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya. 📓[Sura-e-Sajda: 4] *❧ Sawaal :​* Kya yeh duniya khud bakhud ban gayi? *❧ Jawaab :​* Nahin ; is duniya ko Allah Ta'ala ne banaaya. 📓[Sura-e-Sajda: 4]   [[..Next - 51, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 49

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 49 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅               *​✾  ​Jahannam  ✾* ❧ Jahannam mein sab se kam darje ka azaab yeh hoga ke jahannami ko aag ki jootiyaan ya aag ke 2 tasme pehnaaye jaayeinge, jis ki wajah se us ka dimaag haandi ki tarah ublega, woh samjhega ke sab se ziyaada azaab usi ko ho raha hai, jis jahannami ke dil mein zarra baraabar imaan hoga woh apne gunaah ke baqadr azaab chakh kar ya Huzoor ﷺ ki shafa'at se Jahannam se chhutkaara paalega. 📓[Bukhaari: 6562 ; Bukhaari: 7510] ❧ Jahannam mein bhi alag alag darje hain, un mein mukhtalif qism ka azaab hoga, mujrim log apne apne gunaahon ke mawaafiq un mein daakhil kiye jaayeinge, jo bhi Jahannam mein daakhil hoga woh mahaz Allah Ta'ala ke Adl-o-Insaaf se daakhil hoga kisi par zarra baraabar zulm na kiya jaayega. ❧ Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke Jahannam abhi maujood hai aur ha

Aqaaid Part 48

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 48 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅               *​✾  ​Jahannam  ✾* ❧ Jahannam nihaayat hi takleef ki jagah hai, woh kaafiron aur mushrikon ke liye tayyaar ki gai hai, us mein har tarah ke azaab honge, aag ke makaan aur bistar honge, aag ki hathkadiyaan aur zanjeerein hongi, bade bade saanp aur bichchhu honge, jo jahannamiyon ko daste raheinge, khaane ke liye zaqqoom (Jahannam ka ek kaantedaar darakht) hoga, peene ke liye peep aur khaulta huwa pani hoga, jo aanton ko tukde tukde kar dega, Jahannam ki dahekti hui aag hogi, jo un ko jalaati rahegi, aag se itne bade bade shole utheinge, jo aalishaan mahal ke baraabar honge, jab bhi jahannamiyon ke badan ki khaal jal kar raakh hojaayegi, to us ki jagah doosri khaal badal di jaayegi, har ghadi Allah Ta’ala ka azaab un ke liye sakht hota jaayega, azaab ka ek lamha umr bhar ke aish wa raahat ko bhulaa

Aqaaid Part 47

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 47 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                  *​✾  ​Jannat  ✾* ❧ Jannat mein aisi aisi nematein hongi jin ko na kisi aankh ne dekha, na kisi kaan ne suna aur na kisi insaan ke dil mein un ka khayaal guzra, un nematon ke alaawa khuda ke fazl-o-karam se Jannatiyon ko 2 aisi nematein mileingi jo duniya mein kisi insaan ko haasil nahin hosakteen, ek nemat to yeh hai ke wahaan Jannati ki har khwaahish aur tamanna poori hogi aur doosri jo sab se badi nemat hai woh yeh ke Jannatiyon ko Allah Ta'ala ka deedaar naseeb hoga. 📓[Bukhaari: 3244; Sura-e-Zukhruf: 71 ; Sura-e-Yunus: 26] ❧ Jab tak Allah Ta’ala ki rehmat na ho Mahaz apne amal se koi Jannat mein nahin jaayega, albatta Allah Ta'ala imaan waalon ko apni rehmat se Jannat mein daakhil farma kar un ke aamaal ke etebaar se Jannat mein darjaat ata farmaaeinge, jin mein sab se aalaa darj

Aqaaid Part 46

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 46 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                  *​✾  ​Jannat  ✾* ❧ Jannat nihaayat hi aaraam ki jagah hai, woh imaan waalon ke liye tayyaar ki gai hai, us mein har tarah ki nematein hongi jo kabhi khatm na hongi, sone chaandi ki eeton ke mahlaat honge, doodh, shahad, saaf-o-shaffaaf paani aur behtareen qism ki paakizah sharaab ki nehrein hongi, har qism ke phal phool honge, baazaar honge jin mein Jannati ek doosre se mulaaqaat kareinge, un ke dilon mein bugz, keena aur hasad jaisi buri aadatein nahin raheingi, woh bhaai bhaai ban kar raheinge, woh us mein khaaeinge, piyeinge, unhein peshaab wa paakhaane ki haajat na hogi, ek khushgawaar dakaar aur mushk jaisa khushboodaar paseena aayega jis se meda khaali aur halka hojaayega, jo log ek baar Jannat mein jaaeinge phir wahaan se kabhi na nikaale jaaeinge, woh us mein hamesha hamesha raheinge.

Aqaaid Part 45

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 45 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                  *​✾  ​Shafa'at  ✾* ❧ Shafa'at ke maani hain sifaarish karna. Qayaamat ke din nek logon ka bure logon ke haq mein Allah Ta‘ala ki ijaazat se sifaarish karna haq hai, Allah Ta'ala Ambiya, Auliya, Ulma aur Shohda wagaira ko gunahgaaron ke baare mein sifaarish karne ki ijaazat deinge; Bagair ijaazat ke koi sifaarish na kar sakega. 📓[Sharhul Aqeedadit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/205-206] ❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya: Meri ummat mein se baaz log ek badi jamaat ki sifaarish kareinge, baaz ek qabeele ki, baaz 40 aadmiyon ki aur koi ek aadmi ki sifaarish karega. 📓[Tirmizi: 2440] ❧ Musalmaanon ke chhote bachche jo baalig hone se pehle mar jaate hain, woh bhi apne maan baap ki sifaarish kareinge aur Qur'aane Kareem aur nek aamaal bhi baaz logon ki sifaarish kareinge, kufr-o-sh

Aaqaid Part 44

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 44 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                    *​✾  ​Hashr  ✾* ❧ Qayaamat ka ek din 50,000 saal ke baraabar hoga, Hisaab-o-Kitaab ke intezaar mein jab kaafi muddat guzar jaayegi aur logon ki pareshaani badhti jaayegi, to ghabra kar saare auwaleen wa aakhireen mil kar ek ek paigambar ke paas haazir honge aur Hisaab-o-Kitaab jald shuru kiye jaane ki sifaarish kareinge, tamaam ambiya Alaihissalam sifaarish se ma'zirat zaahir farmaayeinge phir akheer mein hamaare paigambar Hazrat Muhammad ﷺ khidmat mein sifaarish ke liye haazir honge, chunaanche Aap ﷺ sifaarish farmaayeinge, Aap ﷺ ke sifaarish farmaane ke baad Allah Ta'ala Arsh par tajalli farmaayeinge phir Hisaab-o-Kitaab shuru ho jaayega aur aamaal naame wazan kiye jaayeinge. 📓[Sahih Bukhaari: 7440]   [[..Next - 45, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Do

Aqaaid Part 43

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 43 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                    *​✾  ​Hashr  ✾* *❧ Qur'aan mein hai:* Mujrim yeh chaahega ke us din ke azaab se chhootne ke liye apne bete fidye mein dede aur apni biwi aur apna bhaai aur apna woh khaandaan jo use panaah deta tha aur zameen ke saare ke saare baashinde phir (un sab ko fidye mein de kar) apne aap ko bachaale (lekin) aisa hargiz nahin ho sakega! woh to ek bhadakti hui aag hai jo khaal utaar legi. 📓[Sura-e-Ma'arij: 11-16] ❧ Us din sooraj zameen se bahot qareeb hoga, us ki garmi ki wajah se dimaag khaolne lagega aur zabaan taalu se lag jaayegi. Kaafir wa mushrik aur naafarmaan log paseene mein doobe huwe honge, jin ke gunah jis qadr ziyaada honge, woh usi qadr paseene mein doobe huwe honge, is kasrat se paseena niklega ke 70 gaz zameen mein jazb hojaayega, jab zameen paseena na pi sakegi to paseena o

Aqaaid Part 42

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 42 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                    *​✾  ​Hashr  ✾* ❧ Hashr ke maani hai jama hona. Qayaamat ke din soor phoonke jaane ke baad jab tamaam jaandaar mar jaayeinge, to ek muddat ke baad dobaara soor phoonka jaayega, jis se tamaam murde zinda ho jaayenge aur apni qabron se uthh kar ek maidaan mein jama honge usi ko “Hashr” kehte hain. ❧ Maidaane Hashr ek safed, narm aur chatiyal zameen hogi jis mein na koi teela hoga aur na koi imaarat ke aadmi us ke peechhe chhup jaaye, Allah Ta'ala tamaam makhlooq ko maidaane Hashr mein jama karega, us maidaan mein kuchh log paidal haazir honge aur kuchh sawaariyon par sawaar ho kar aur kaafir log munh ke bal chalte huwe maidaane Hashr mein pohncheinge. 📓[Muslim: 7233 ; Tirmizi: 3142] ❧ Us din ki ghabraahat ka yeh aalam hoga ke har shakhs apni apni fikr mein hoga, insaan apne bhaai, maan

Aqaaid Part 41

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 41 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                   *​✾  ​Barzakh  ✾* ❧ Aalame Barzakh mein nek aur momin bandon par Allah Ta'ala ki rehmatein aur us ka inaam hota hai aur kaafiron aur naafarmaan mominon par Allah Ta'ala ka azaab hota hai. Allah Ta’ala ke is inaam ya azaab ka taalluq murde ke jism aur rooh donon se hota hai, chaahe marne waale ka jism mitti mein khaak ho gaya ho ya aag mein jal gaya ho ya paani mein doob gaya ho ya darindon, parindon aur machhliyon wagaira ne kha kar hazam kar diya ho. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Ibne Abil Iz: 1/396] ❧ Murde ke jism aur rooh se Allah Ta’ala ke inaam ya azaab ki kaifiyat wa haalat ka sahi ilm Allah Ta'ala hi ko hai, hamaari samajh mein aaye ya na aaye ham ko is par imaan laana zaroori hai. ❧ Murde ke saamne qayaamat tak rozaana subah wa shaam us ka thhikaana (Jannat ya dozakh

Aqaaid Part 40

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 40 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                   *​✾  ​Barzakh  ✾* ❧ Theek jawaab dene ke baad pehle us ke saamne dozakh ka manzar pesh kiya jaata hai aur kaha jaata hai ke tumhaara thhikaana yahaan hota magar Allah ne tum ko is se bachaaliya, phir use Jannat ka nazaara karaaya jaata hai, us ke liye jannat ke bichhawne bichhaaye jaate hain, us ko Jannat ke kapde pehnaaye jaate hain, Jannat ka darwaaza khol diya jaata hai, us ki qabr kushaada kardi jaati hai aur khoobsoorat chehre, behtareen libaas aur umdah khushbooh mein us ka nek amal us ke saamne haazir hota hai, is ke baad woh (khushi mein) kehta hai: Aye Rab! Qayaamat qaaim farma, aye Rab! Qayaamat qaaim farma; Taake main apne ahl-o-ayaal aur maal (Jannat ki hooron aur us ki nematon) mein pahonch jaaoon. ❧ Aur agar murda imaan waala nahin hai, to Munkar Nakeer ke tamaam sawaalon ke ja

Aqaaid Part 39

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 39 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                   *​✾  ​Barzakh  ✾* ❧ Allah Ta'ala ne duniya aur aakhirat ke darmiyaan ek aur jahaan aur aalam basaaya hai, jo marne ke baad se qayaamat qaaim hone tak rahega, us jahaan ko “Barzakh” kehte hain aur us ko “Aalame Qabr” kehte hain, Qabr se yahi aalam muraad hota hai. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/523] ❧ Insaan jab mar jaata hai, agar dafan kiya jaaye, to dafan hone ke baad, warna jis haal mein ho, us ke paas 2 nihaayat haibatnaak farishte aate hain, jin ka rang siyaah aur aankhein neeli hoti hain, jin mein se ek ko “Munkar” aur doosre ko “Nakeer” kehte hain. 📓[Tirmizi: 1071] ❧ “Munkar wa Nakeer” murde se sawaal karte hain ke tera Rab kaun hai? Tera Deen kya hai? Hazrat Muhammad ﷺ ke baare mein poochhte hain ke yeh shakhs kaun hain? Agar murda imaan waala ho

Aqaaid Part 38

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 38 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *​✾ ​Alaamaate Kubra ✾* ❧ Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ke zaahir hone ke baad se soor phoonke jaane tak jo bhi alaamatein zaahir hongi, un ko “Alaamaate Kubra” kehte hain. *❧ Alaamaate Kubra kul 10 hain:* (1) Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ka zaahir hona. (2) Dajjaal ka nikalna. (3) Hazrat Isa Alaihissalam ka aasmaan se utarna. (4) Yaajooj Maajooj ka nikalna. (5) Khasaf yaani zameen mein dhans jaane ke 3 waaqiaat honge, ek mashriq mein, ek magrib mein aur ek Jazeeratul Arab. (6) Dhuwein ka zaahir hona. (7) Sooraj ka magrib se nikalna. (8) Daabbatul Arz yaani ek ajeeb jaanwar ka zameen se nikalna. (9) Yaman se aag ka nikalna. (10) Ek khusgawaar hawa ka chalna jis se tamaam momineen ki rooh qabz ho jaayegi. In tamaam alaamaton ke paaye jaane ke baad qayaamat achaanak aajaayegi. 📓[Muslim: 74

Aqaaid Part 37

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 37 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *​✾ ​Alaamaate Sugra ✾* *❧ Alaamaate Sugra yeh hain:* (14) Sachche aadmi ko jhoota aur jhoote ko sachcha samajha jaana. (15) Sharm wa haya aur dilon se amaanat wa dayaanat ka uthh jaana. (16) Zulm wa rishwat ka badh jaana. (17) Deen ka ilm duniya haasil karne ki niyyat se seekhna. (18) Kaafiron ka chaaron taraf se musalmaanon par hamla karna. (19) Darindon ka aadmiyon se baat karna. (20) Waqt mein barkat na hona, yahaan tak ke saal ka maheene ki tarah aur maheene ka hafte ki tarah aur hafte ka din ki tarah aur din ka ghante ki tarah guzar jaana. 📓[Ibne Maaja: 4036 ; Sho'abul Imaan: 5276 ; Sunanul Waaridati Fi Li Fitni: 428 ; Tirmizi: 2211 ; Abu Daawood: 4297 ; Musnade Ahmad: 11792 ; Tirmizi : 2332] ❧ Mazkoora alaamaton ke alaawa aur alaamatein bhi hain jo is tarah pai dar pai zaahir hon

Aqaaid Part 36

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 36 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *​✾ ​Alaamaate Sugra ✾* ❧ Huzoor ﷺ ki paidaaish se lekar Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ke zaahir hone tak jo bhi alaamatein aur nishaaniyaan zaahir hongi, un ko “Alaamaate Sugra” kehte hain. 📓[Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/49; Al Imaan Haqeeqatuhu, Khawaarimuhu, Nawaaqizuhu Inda Ahlis Sunnati Wal Jama'ah: 1/83] *❧ Alaamaate Sugra yeh hain:* (1) Ilm ka uthh jaana aur jihaalat ka badh jaana. (2) Zina kaari, sharaab khori aur qatl wa gaaratgiri ka aam hona. (3) Aurton ka ziyaada hona aur mardon ka kam hona. (4) Zalzalon ka aana. (5) Logon ka oonchi oonchi imaaratein banaana. (6) Amal mein kotaahi aur dil mein laalach ka badh jaana. (7) Gaane bajaane ke saamaan aur gaane waali aurton ka aam hojaana. (8) Maan ki naafarmaani karna aur biwi ki ita'at karna. (9) Doston

Aqaaid Part 35

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 35 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅       *​✾ ​Alaamaate Qayaamat ✾* ❧  Qayaamat kab qaaim hogi? Is ka ilm Allah Ta'ala ke alaawa kisi ko nahin hai, albatta Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko wahi ke zariye qayaamat ki bahot si alaamatein batlaai hain, jo qayaamat qaaim hone se pehle duniya mein paai jaaein gi. 📓[Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/43-45] ❧ Qayaamat ki alaamatein 2 tarah ki hain: *(1)* Alaamaate Sugra (Chhoti Alaamaatein) *(2)* Alaamaate Kubra (Badi Alaamaatein) 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/691; Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/48]   [[..Next - 36, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 34

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 34 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *​✾ ​Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat* ❧ Kuffaar ke mazhabi tehwaar mushrikaana aqeedon se bhare hote hain jaise Ganesh Chaturthi, Dasehra, Murti Pooja, Holi, Diwali aur Christmas wagaira in mein shirkat karna haraam hai, kuffaar ke mazhabi tehwaaron mein shareek hone ki chand soortein yeh hain: (1) In tehwaaron ka manaana. (2) Tehwaar manaane mein un ke saath shareek hona. (3) Mazhabi tehwaaron mein un ki madad karna. (4) Mazhabi tehwaaron mein tohfa ya Chanda wagaira dena. (5) Mazhabi tehwaaron ki khushi mein apne ghar ke liye cheezein khareedna aur khaane pakaane ka ehtemaam karna. (6) Mazhabi juloos mein shareek hona. ❧ Agar koi musalmaan in mein se kisi bhi baat ko achchha jaan kar karega, to us ka imaan jaata rahega aur agar gunah jaan kar karega, to sakht gunahgaar hoga. ❧ Ham tamaam mu

Aqaaid Part 33

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 33 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅              *​✾ ​Kufr wa Shirk ✾* *​❧ Allah Ta’ala ki sifaat mein shirk:* ❧ Allah Ta'ala ki sifaat mein shirk ka matlab yeh hai ke jo sifaat Allah Ta'ala ke saath khaas hain, un ko kisi doosre ke liye maanna jaise Allah Ta'ala ke alaawa kisi ko rozi dene waala aur aulaad dene waala samajhna, kisi Nabi aur wali ke baare mein yeh aqeeda rakhna ke un ko khuda ki tarah gaib ki tamaam baaton ka ilm hai, Allah Ta'ala ki tarah kisi doosre ko ibaadat ka mustahiq samajhna aur us ke liye ibaadat ka koi fel karna jaise kisi qabr par ya kisi buzurg ke saamne sajda karna, kisi paigambar aur wali ke naam ka roza rakhna aur un ke naam par jaanwar zabah karna wagaira wagaira. ❧ Gunaahon mein kufr-o-shirk sab se bade gunah hain, kufr-o-shirk toba ke bagair hargiz maaf nahin hote, kufr-o-shirk ki haalat mein

Aqaaid Part 32

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 32 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅              *​✾ ​Kufr wa Shirk ✾* *​❧ Shirk :* Shirk ke maani hain shareek karna, Allah ki zaat wa sifaat mein kisi ko shareek karna “Shirk” hai. *​❧ Allah Ta’ala ki zaat mein Shirk:* Allah Ta'ala ki zaat mein shirk ka matlab yeh hai ke Allah Ta'ala ke alaawa kisi aur ko bhi khuda maanna jaise Isaai Allah Ta‘ala ko khuda maanne ke saath saath hazrat Isa Alaihissalam ko khuda ka beta aur Hazrat Maryam Alaihassalam ko khuda ki biwi maante hain, to woh 3 khuda maanne ki wajah se mushrik huwe, ❧ Aatish parast (aag ki pooja karne waale) 2 khuda maante hain: Ek bhalaai ka paida karne waala, doosra buraai ka paida karne waala, jis ki wajah se woh mushrik huwe ❧ Aur but parast chaand, sooraj, aag, paani, darakht, patthar jaisi bahot si cheezon ko khuda maan kar mushrik huwe.   [[..Next - 33, Soon In sha A

Aqaaid Part 31

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 31 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅              *​✾ ​Kufr wa Shirk ✾* *​❧ Kufr :* Kufr ke maani hai na maanna, Islaam mein jin cheezon par imaan laana zaroori hai, in mein se kisi ek ko bhi na maanna “Kufr” hai. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah Bin Abdir Rahman; 38/16] ❧ Jaise koi shakhs Allah Ta‘ala ki zaat ko na maane ya us ki sifaat mein se kisi sifat ka inkaar kare, ya farishton ka inkaar kare ya pichhle ambiya Alaihissalam par naazil hone waali kitaabon ke baare mein yeh aqeeda rakhe ke woh Allah Ta'ala ki kitaabein nahin theen ya Qur’aan Majeed ke kisi mazmoon ka inkaar kare ya kisi Nabi ko na maane ya paigambaron ko jhoota kahe aur un ki taraf buri baaton ko mansoob kare ya taqdeer ka inkaar kare ya aakhirat ke din, qayaamat aur Hashr-o-Nashr ka inkaar kare maslan yoon kahe ke marne ke baad dobaara zinda nahin kiya jaaye

Aqaaid Part 30

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 30 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *​✾ ​Karaamat ✾* *​❧ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:* *(3)* Wali chaahe khuda ka kitna hi pyaara ho jaaye magar jab tak hosh-o-hawaas baaqi ho, woh shareeat ka paaband hai, namaaz, rozah aur koi ibaadat us se maaf nahin ho jaati aur gunah ki baatein us ke liye durust nahin hoteen. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah: 49/10] *(4)* Aisa shakhs jo shareeat ke khilaaf kaam kare jaise namaaz na padhe ya daadhi mundaaye wagaira woh hargiz wali nahin ho sakta, chaahe us se kitni hi baatein aadat ke khilaaf zaahir hoti hon, chaahe woh hawa mein udne lage, paani par chalne lage aur tarah tarah ke ajeeb kaam kare, aadat ke khilaaf aisi baatein ya to jaadu hai ya shaitaani harkatein. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673] ❧ Ham musalmaanon ka aqeeda hai

Aqaaid Part 29

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 29 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *​✾ ​Karaamat ✾* ​❧ Allah Ta’ala apne nek bandon ki izzat badhaane ke liye kabhi kabhi un ke zariye aisi baatein zaahir karaadeta hai jo aadat ke khilaaf aur mushkil hoti hain, jinhein aam log nahin kar sakte, jaise paani par chalna, hawa mein udna wagaira in baaton ko “Karaamat” kehte hain. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/670] *​❧ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:* *(1)* Nek bandon aur Auliya Allah se karaamaton ka zaahir hona haq hai. 📓[Sharhul Aqeedatut Tahaawiyah Abdullah: 92/1] *(2)* Wali se karaamat ka zahoor Allah ke ahkaam ki mukammal paabandi aur Huzoor ﷺ ki kaamil ittiba aur pairwi ki barkat se hota hai. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673]   [[..Next - 30, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course b

Aqaaid Part 28

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 28 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                  *​✾ ​Mo’ajizah ✾* ​❧ Huzoor ﷺ ko bhi beshumaar mo'ajizaat ata kiye gaye, jin mein se do mo’ajize maaroof wa mash-hoor hain: *(1) Meraaj :* Allah Ta'ala ke hukm se Huzoor ﷺ raat ko bedaari ki haalat mein Hazrat Jibraeel Alaihissalam ke saath Makkah Muazzamah se Baitul Muqaddas gaye aur phir wahaan se saaton aasmaanon par aur jahaan tak Allah Ta’ala ko manzoor tha wahaan tak tashreef le gaye, usi raat mein Jannat aur Dozakh ki sair ki aur phir apne maqaam par waapas aagaye, isi ko “Me'araaj” kehte hain. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Ibne Abil Iz: 1/223; Sahih Muslim: 429] *(2) Shaqqe Qamar :* Ek raat kuffaare Makkah ne Huzoor Akram ﷺ se kaha ke hamein koi Mo’ajizah dikhaaiye to Huzoor ﷺ ne ungli se chaand ki taraf ishaara kiya, jis se chaand ke 2 tukde ho gaye, sab haazireen ne

Aqaaid Part 27

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 27 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                  *​✾ ​Mo’ajizah ✾* ​❧ Allah Ta'ala apne paigambaron se kabhi aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir kara deta hai, jin par Allah Ta'ala ke siwa kisi ko qudrat nahin hoti, doosre log is ke karne se aajiz hote hain, aisi baaton ko "Mo’ajizah" kehte hain. 📓[Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 134 Meem] ​❧ Paigambaron se aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir karaane ka maqsad logon ko samjhaana hota hai ke yeh Allah Ta'ala ke bheje huwe paigambar aur us ke makhsoos bande hain, paigambaron ke mo’ajizaat haq hain, un par imaan lana zaroori hai. Allah Ta'ala ne bahot se paigambaron ko un ki risaalat ki taaeed ke liye mukhtalif qism ke mo'ajize ata farmaaye, ​❧ Hazrat Moosa Alaihissalam ke asa (laathhi) ka saanp ban jaana, ​❧ Hazrat Isa Alaihissalam ka Allah Ta'ala ke hukm

Aqaaid Part 26

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 26 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *​✾ ​Sahaaba RaziyAllahu Anhuma* ​❧ “Sahaaba’’ sahaabi ki jama hai, jis shakhs ne imaan ki haalat mein Huzoor ﷺ se mulaaqaat ki ho aur imaan hi ki haalat mein us ki wafaat hui ho, us ko “Sahaaba’’ kehte hain. 📓[Umdatul Qaari: 24/229] ​❧ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma bahot saare hain, un ke martabe aapas mein kam ziyaada hain, lekin tamaam insaanon mein ambiya Alaihissalam ke baad Huzoor ﷺ ke sahaaba ka martaba hai, tamaam Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma kaamil imaan waale, muttaqi, parhezgaar aur a'ala darje ke wali the. Tamaam sahaaba mein 4 Hazraat sab se afzal hain, pehle Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Umar Faarooq RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Usmaan RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu. ​❧ Hamaare Nabi ﷺ ki shareeat ka ilm hamein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ke zar

Aqaaid Part 25

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 25 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *​✾ ​Hazrat Muhammad ﷺ aakhri Nabi* ​❧ Sab se aakhri Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain. Aap ﷺ ke baad qayaamat tak koi Nabi nahin aayega, Aap ﷺ ne khud farmaaya: *“Anaa khaatamun nabiyeena laa nabiyya ba’adee"* *​❧ Tarjama:* Main aakhri Nabi hoon, mere baad koi Nabi nahin aayega. 📓[Abu Daawood: 4252] ❧ Lihaaza jo shakhs bhi Aap ﷺ ke baad apne Nabi hone ka daawa kare woh jhoota hai aur jo us ko Nabi maane woh kaafir hai. Huzoor ﷺ ke zamaane se le kar is waqt tak bahot se logon ne apne Nabi hone ka daawa kiya, woh sab ke sab jhoote the, Hazrat Isa Alaihissalam qayaamat ke qareeb aasmaan se utreinge, lekin woh bhi hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ki shari‘at par amal kareinge aur apne nubuwwat ke mansab par qaaim rehte huwe Huzoor ﷺ ki ta‘aleemaat ke mutaabiq is ummat ki islaah farmaayeinge. 📓[Bukhaari: 7121,