Aqaaid Part 41

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 41 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

                  *​✾  ​Barzakh  ✾*

❧ Aalame Barzakh mein nek aur momin bandon par Allah Ta'ala ki rehmatein aur us ka inaam hota hai aur kaafiron aur naafarmaan mominon par Allah Ta'ala ka azaab hota hai. Allah Ta’ala ke is inaam ya azaab ka taalluq murde ke jism aur rooh donon se hota hai, chaahe marne waale ka jism mitti mein khaak ho gaya ho ya aag mein jal gaya ho ya paani mein doob gaya ho ya darindon, parindon aur machhliyon wagaira ne kha kar hazam kar diya ho.

📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Ibne Abil Iz: 1/396]

❧ Murde ke jism aur rooh se Allah Ta’ala ke inaam ya azaab ki kaifiyat wa haalat ka sahi ilm Allah Ta'ala hi ko hai, hamaari samajh mein aaye ya na aaye ham ko is par imaan laana zaroori hai.

❧ Murde ke saamne qayaamat tak rozaana subah wa shaam us ka thhikaana (Jannat ya dozakh) pesh kiya jaata hai, Jannati ko Jannat dikha kar khush khabri di jaati hai aur dozakhi ko dozakh dikha kar us ke khauf ko badhaaya jaata hai.

❧ Ham musalmaanon ka aqeda hai ke barzakh haq hai, har imaan waale ko is par imaan laana zaroori hai.

📓[Sahih Bukhaari: 1379]

  [[..Next - 42, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Comments

Popular posts from this blog

Aqaaid Part 69

Aqaaid Part 65

Aqaaid Part 71