Posts

Showing posts from November, 2016

Aqaaid Part 38

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 38 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *​✾ ​Alaamaate Kubra ✾* ❧ Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ke zaahir hone ke baad se soor phoonke jaane tak jo bhi alaamatein zaahir hongi, un ko “Alaamaate Kubra” kehte hain. *❧ Alaamaate Kubra kul 10 hain:* (1) Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ka zaahir hona. (2) Dajjaal ka nikalna. (3) Hazrat Isa Alaihissalam ka aasmaan se utarna. (4) Yaajooj Maajooj ka nikalna. (5) Khasaf yaani zameen mein dhans jaane ke 3 waaqiaat honge, ek mashriq mein, ek magrib mein aur ek Jazeeratul Arab. (6) Dhuwein ka zaahir hona. (7) Sooraj ka magrib se nikalna. (8) Daabbatul Arz yaani ek ajeeb jaanwar ka zameen se nikalna. (9) Yaman se aag ka nikalna. (10) Ek khusgawaar hawa ka chalna jis se tamaam momineen ki rooh qabz ho jaayegi. In tamaam alaamaton ke paaye jaane ke baad qayaamat achaanak aajaayegi. 📓[Muslim: 74

Aqaaid Part 37

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 37 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *​✾ ​Alaamaate Sugra ✾* *❧ Alaamaate Sugra yeh hain:* (14) Sachche aadmi ko jhoota aur jhoote ko sachcha samajha jaana. (15) Sharm wa haya aur dilon se amaanat wa dayaanat ka uthh jaana. (16) Zulm wa rishwat ka badh jaana. (17) Deen ka ilm duniya haasil karne ki niyyat se seekhna. (18) Kaafiron ka chaaron taraf se musalmaanon par hamla karna. (19) Darindon ka aadmiyon se baat karna. (20) Waqt mein barkat na hona, yahaan tak ke saal ka maheene ki tarah aur maheene ka hafte ki tarah aur hafte ka din ki tarah aur din ka ghante ki tarah guzar jaana. 📓[Ibne Maaja: 4036 ; Sho'abul Imaan: 5276 ; Sunanul Waaridati Fi Li Fitni: 428 ; Tirmizi: 2211 ; Abu Daawood: 4297 ; Musnade Ahmad: 11792 ; Tirmizi : 2332] ❧ Mazkoora alaamaton ke alaawa aur alaamatein bhi hain jo is tarah pai dar pai zaahir hon

Aqaaid Part 36

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 36 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *​✾ ​Alaamaate Sugra ✾* ❧ Huzoor ﷺ ki paidaaish se lekar Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ke zaahir hone tak jo bhi alaamatein aur nishaaniyaan zaahir hongi, un ko “Alaamaate Sugra” kehte hain. 📓[Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/49; Al Imaan Haqeeqatuhu, Khawaarimuhu, Nawaaqizuhu Inda Ahlis Sunnati Wal Jama'ah: 1/83] *❧ Alaamaate Sugra yeh hain:* (1) Ilm ka uthh jaana aur jihaalat ka badh jaana. (2) Zina kaari, sharaab khori aur qatl wa gaaratgiri ka aam hona. (3) Aurton ka ziyaada hona aur mardon ka kam hona. (4) Zalzalon ka aana. (5) Logon ka oonchi oonchi imaaratein banaana. (6) Amal mein kotaahi aur dil mein laalach ka badh jaana. (7) Gaane bajaane ke saamaan aur gaane waali aurton ka aam hojaana. (8) Maan ki naafarmaani karna aur biwi ki ita'at karna. (9) Doston

Aqaaid Part 35

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 35 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅       *​✾ ​Alaamaate Qayaamat ✾* ❧  Qayaamat kab qaaim hogi? Is ka ilm Allah Ta'ala ke alaawa kisi ko nahin hai, albatta Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko wahi ke zariye qayaamat ki bahot si alaamatein batlaai hain, jo qayaamat qaaim hone se pehle duniya mein paai jaaein gi. 📓[Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/43-45] ❧ Qayaamat ki alaamatein 2 tarah ki hain: *(1)* Alaamaate Sugra (Chhoti Alaamaatein) *(2)* Alaamaate Kubra (Badi Alaamaatein) 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/691; Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/48]   [[..Next - 36, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Aqaaid Part 34

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 34 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *​✾ ​Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat* ❧ Kuffaar ke mazhabi tehwaar mushrikaana aqeedon se bhare hote hain jaise Ganesh Chaturthi, Dasehra, Murti Pooja, Holi, Diwali aur Christmas wagaira in mein shirkat karna haraam hai, kuffaar ke mazhabi tehwaaron mein shareek hone ki chand soortein yeh hain: (1) In tehwaaron ka manaana. (2) Tehwaar manaane mein un ke saath shareek hona. (3) Mazhabi tehwaaron mein un ki madad karna. (4) Mazhabi tehwaaron mein tohfa ya Chanda wagaira dena. (5) Mazhabi tehwaaron ki khushi mein apne ghar ke liye cheezein khareedna aur khaane pakaane ka ehtemaam karna. (6) Mazhabi juloos mein shareek hona. ❧ Agar koi musalmaan in mein se kisi bhi baat ko achchha jaan kar karega, to us ka imaan jaata rahega aur agar gunah jaan kar karega, to sakht gunahgaar hoga. ❧ Ham tamaam mu

Aqaaid Part 33

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 33 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅              *​✾ ​Kufr wa Shirk ✾* *​❧ Allah Ta’ala ki sifaat mein shirk:* ❧ Allah Ta'ala ki sifaat mein shirk ka matlab yeh hai ke jo sifaat Allah Ta'ala ke saath khaas hain, un ko kisi doosre ke liye maanna jaise Allah Ta'ala ke alaawa kisi ko rozi dene waala aur aulaad dene waala samajhna, kisi Nabi aur wali ke baare mein yeh aqeeda rakhna ke un ko khuda ki tarah gaib ki tamaam baaton ka ilm hai, Allah Ta'ala ki tarah kisi doosre ko ibaadat ka mustahiq samajhna aur us ke liye ibaadat ka koi fel karna jaise kisi qabr par ya kisi buzurg ke saamne sajda karna, kisi paigambar aur wali ke naam ka roza rakhna aur un ke naam par jaanwar zabah karna wagaira wagaira. ❧ Gunaahon mein kufr-o-shirk sab se bade gunah hain, kufr-o-shirk toba ke bagair hargiz maaf nahin hote, kufr-o-shirk ki haalat mein

Aqaaid Part 32

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 32 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅              *​✾ ​Kufr wa Shirk ✾* *​❧ Shirk :* Shirk ke maani hain shareek karna, Allah ki zaat wa sifaat mein kisi ko shareek karna “Shirk” hai. *​❧ Allah Ta’ala ki zaat mein Shirk:* Allah Ta'ala ki zaat mein shirk ka matlab yeh hai ke Allah Ta'ala ke alaawa kisi aur ko bhi khuda maanna jaise Isaai Allah Ta‘ala ko khuda maanne ke saath saath hazrat Isa Alaihissalam ko khuda ka beta aur Hazrat Maryam Alaihassalam ko khuda ki biwi maante hain, to woh 3 khuda maanne ki wajah se mushrik huwe, ❧ Aatish parast (aag ki pooja karne waale) 2 khuda maante hain: Ek bhalaai ka paida karne waala, doosra buraai ka paida karne waala, jis ki wajah se woh mushrik huwe ❧ Aur but parast chaand, sooraj, aag, paani, darakht, patthar jaisi bahot si cheezon ko khuda maan kar mushrik huwe.   [[..Next - 33, Soon In sha A

Aqaaid Part 31

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 31 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅              *​✾ ​Kufr wa Shirk ✾* *​❧ Kufr :* Kufr ke maani hai na maanna, Islaam mein jin cheezon par imaan laana zaroori hai, in mein se kisi ek ko bhi na maanna “Kufr” hai. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah Bin Abdir Rahman; 38/16] ❧ Jaise koi shakhs Allah Ta‘ala ki zaat ko na maane ya us ki sifaat mein se kisi sifat ka inkaar kare, ya farishton ka inkaar kare ya pichhle ambiya Alaihissalam par naazil hone waali kitaabon ke baare mein yeh aqeeda rakhe ke woh Allah Ta'ala ki kitaabein nahin theen ya Qur’aan Majeed ke kisi mazmoon ka inkaar kare ya kisi Nabi ko na maane ya paigambaron ko jhoota kahe aur un ki taraf buri baaton ko mansoob kare ya taqdeer ka inkaar kare ya aakhirat ke din, qayaamat aur Hashr-o-Nashr ka inkaar kare maslan yoon kahe ke marne ke baad dobaara zinda nahin kiya jaaye

Aqaaid Part 30

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 30 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *​✾ ​Karaamat ✾* *​❧ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:* *(3)* Wali chaahe khuda ka kitna hi pyaara ho jaaye magar jab tak hosh-o-hawaas baaqi ho, woh shareeat ka paaband hai, namaaz, rozah aur koi ibaadat us se maaf nahin ho jaati aur gunah ki baatein us ke liye durust nahin hoteen. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah: 49/10] *(4)* Aisa shakhs jo shareeat ke khilaaf kaam kare jaise namaaz na padhe ya daadhi mundaaye wagaira woh hargiz wali nahin ho sakta, chaahe us se kitni hi baatein aadat ke khilaaf zaahir hoti hon, chaahe woh hawa mein udne lage, paani par chalne lage aur tarah tarah ke ajeeb kaam kare, aadat ke khilaaf aisi baatein ya to jaadu hai ya shaitaani harkatein. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673] ❧ Ham musalmaanon ka aqeeda hai

Aqaaid Part 29

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 29 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *​✾ ​Karaamat ✾* ​❧ Allah Ta’ala apne nek bandon ki izzat badhaane ke liye kabhi kabhi un ke zariye aisi baatein zaahir karaadeta hai jo aadat ke khilaaf aur mushkil hoti hain, jinhein aam log nahin kar sakte, jaise paani par chalna, hawa mein udna wagaira in baaton ko “Karaamat” kehte hain. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/670] *​❧ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:* *(1)* Nek bandon aur Auliya Allah se karaamaton ka zaahir hona haq hai. 📓[Sharhul Aqeedatut Tahaawiyah Abdullah: 92/1] *(2)* Wali se karaamat ka zahoor Allah ke ahkaam ki mukammal paabandi aur Huzoor ﷺ ki kaamil ittiba aur pairwi ki barkat se hota hai. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673]   [[..Next - 30, Soon In sha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course b

Aqaaid Part 28

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 28 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                  *​✾ ​Mo’ajizah ✾* ​❧ Huzoor ﷺ ko bhi beshumaar mo'ajizaat ata kiye gaye, jin mein se do mo’ajize maaroof wa mash-hoor hain: *(1) Meraaj :* Allah Ta'ala ke hukm se Huzoor ﷺ raat ko bedaari ki haalat mein Hazrat Jibraeel Alaihissalam ke saath Makkah Muazzamah se Baitul Muqaddas gaye aur phir wahaan se saaton aasmaanon par aur jahaan tak Allah Ta’ala ko manzoor tha wahaan tak tashreef le gaye, usi raat mein Jannat aur Dozakh ki sair ki aur phir apne maqaam par waapas aagaye, isi ko “Me'araaj” kehte hain. 📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Ibne Abil Iz: 1/223; Sahih Muslim: 429] *(2) Shaqqe Qamar :* Ek raat kuffaare Makkah ne Huzoor Akram ﷺ se kaha ke hamein koi Mo’ajizah dikhaaiye to Huzoor ﷺ ne ungli se chaand ki taraf ishaara kiya, jis se chaand ke 2 tukde ho gaye, sab haazireen ne

Aqaaid Part 27

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 27 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                  *​✾ ​Mo’ajizah ✾* ​❧ Allah Ta'ala apne paigambaron se kabhi aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir kara deta hai, jin par Allah Ta'ala ke siwa kisi ko qudrat nahin hoti, doosre log is ke karne se aajiz hote hain, aisi baaton ko "Mo’ajizah" kehte hain. 📓[Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 134 Meem] ​❧ Paigambaron se aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir karaane ka maqsad logon ko samjhaana hota hai ke yeh Allah Ta'ala ke bheje huwe paigambar aur us ke makhsoos bande hain, paigambaron ke mo’ajizaat haq hain, un par imaan lana zaroori hai. Allah Ta'ala ne bahot se paigambaron ko un ki risaalat ki taaeed ke liye mukhtalif qism ke mo'ajize ata farmaaye, ​❧ Hazrat Moosa Alaihissalam ke asa (laathhi) ka saanp ban jaana, ​❧ Hazrat Isa Alaihissalam ka Allah Ta'ala ke hukm

Aqaaid Part 26

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 26 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *​✾ ​Sahaaba RaziyAllahu Anhuma* ​❧ “Sahaaba’’ sahaabi ki jama hai, jis shakhs ne imaan ki haalat mein Huzoor ﷺ se mulaaqaat ki ho aur imaan hi ki haalat mein us ki wafaat hui ho, us ko “Sahaaba’’ kehte hain. 📓[Umdatul Qaari: 24/229] ​❧ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma bahot saare hain, un ke martabe aapas mein kam ziyaada hain, lekin tamaam insaanon mein ambiya Alaihissalam ke baad Huzoor ﷺ ke sahaaba ka martaba hai, tamaam Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma kaamil imaan waale, muttaqi, parhezgaar aur a'ala darje ke wali the. Tamaam sahaaba mein 4 Hazraat sab se afzal hain, pehle Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Umar Faarooq RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Usmaan RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu. ​❧ Hamaare Nabi ﷺ ki shareeat ka ilm hamein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ke zar

Aqaaid Part 25

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 25 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *​✾ ​Hazrat Muhammad ﷺ aakhri Nabi* ​❧ Sab se aakhri Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain. Aap ﷺ ke baad qayaamat tak koi Nabi nahin aayega, Aap ﷺ ne khud farmaaya: *“Anaa khaatamun nabiyeena laa nabiyya ba’adee"* *​❧ Tarjama:* Main aakhri Nabi hoon, mere baad koi Nabi nahin aayega. 📓[Abu Daawood: 4252] ❧ Lihaaza jo shakhs bhi Aap ﷺ ke baad apne Nabi hone ka daawa kare woh jhoota hai aur jo us ko Nabi maane woh kaafir hai. Huzoor ﷺ ke zamaane se le kar is waqt tak bahot se logon ne apne Nabi hone ka daawa kiya, woh sab ke sab jhoote the, Hazrat Isa Alaihissalam qayaamat ke qareeb aasmaan se utreinge, lekin woh bhi hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ki shari‘at par amal kareinge aur apne nubuwwat ke mansab par qaaim rehte huwe Huzoor ﷺ ki ta‘aleemaat ke mutaabiq is ummat ki islaah farmaayeinge. 📓[Bukhaari: 7121,

Aqaaid Part 24

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 24 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *​✾ Marne ke baad dobaara zinda hona​* ​❧ Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke marne ke baad dobaara zinda uthhaaya jaana haq hai aur Allah Ta'ala marne ke baad dobaara zinda karne par Qaadir hai, Qayaamat ke din Allah Ta'ala jism ki boseeda haddiyon aur mitti mein mile huwe rezon ko har jagah se jama karega, chaahe woh aag mein jala ho ya paani mein dooba ho ya jaanwar ke pet mein hazm ho gaya ho, jism ke tamaam ajza ko jama karega aur jo roohein duniya mein jismon ke andar theen, un ko jismon mein daal kar dobaara zinda karega. *​❧ Qur‘aan mein hai :* Aur Kuffaar-e-Makkah kaha karte the ke jab ham mar jaayenge aur mitti aur haddiyaan ban kar reh jaayenge to kya hamein dobaara zinda kiya jaayega? Aur kya hamaare pehle guzre huwe baap daadon ko bhi? Keh do ke yaqeenan sab agle aur pichhle log ek muta'

Aqaaid Part 23

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 23 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ ​❧ Phir Hazrat Isa Alaihissalam aur doosre Ambiya Alaihissalam uthhenge phir Siddiqeen, Shuhada, Saaliheen aur Momineen yeh kehte huwe uthhenge: *“Alhamdu lillaahillazee azhaba annal hazn, inna rabbanaa lagafoorun shakoor”* *​❧ Tarjama:* Allah ka shukr hai jis ne ham se gam ko door kar diya, beshak hamaara parwardigaar bahot bakhshne waala, bada qadardaan hai. 📓[Shoabul Imaan: 100] ​❧ Akheer mein kuffaar aur bure log yeh kehte huwe uthhenge: *“Yaa wailanaa mam ba’asanaa mim marqadinaa”* *​❧ Tarjama:* Haaye hamaari kharaabi! Kis ne ham ko hamaari qabron se uthha diya. 📓[Shoabul Imaan: 357] ❧ Jo shakhs jis haal mein mara hai usi haal mein uthhega, shaheedon ke zakhmon se khoon beh raha hoga, jis ki rangat aur khushbu zaafraan ki tarah hogi, jo Haj mein mara hoga woh *“Labbaik ...... ”* kehta huwa uthheg

Aqaaid Part 22

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 22 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅ *✾ Marne ke baad dobaara zinda hona ✾* ​❧ Ba'as Ba'adal Maut ke maana hain marne ke baad dobaara zinda kar ke uthhaaya jaana. Qayaamat ke din Hazrat Israafeel Alaihissalam jab pehli martaba soor phoonkeinge to tamaam jaandaar mar jaayeinge aur phir Hazrat Israafeel Alaihissalam ko bhi Allah Ta'ala maut de denge, ek muddat ke baad Allah Ta'ala Hazrat Israafeel Alaihissalam ko zinda karenge, phir woh dobaara soor phoonkeinge, jis se tamaam log dobaara zinda ho jaayenge, isi ko "Ba'as Ba'adal Maut" kehte hain. 📓[Sharahul Aqeedatit Tahaawiyya Li Saaleh bin Abdil Azeez: 1/534] ​❧ Sab se pehle hamaare Nabi ﷺ qabr-e-mubaarak se is tarah baahar tashreef laayeinge ke Aap ﷺ ke daahine haath mein Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziyAllahu Anhu ka haath hoga aur baayein haath mein Hazrat Umar

Aqaaid Part 21

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 21 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Taqdeer  ✾* *❧ Taqdeer ke baare mein chand zaroori Aqaaid:* *(5)* Agar kisi ko koi museebat pesh aaye to yeh hargiz na kahe ke agar main aise karta to aisa hota balke ye kahe ke mere muqaddar mein yahi tha. 📓 [Sahih Muslim: 6945] *(6)* Taqdeer par bharosa kar ke hargiz na baithhna chaahiye yaani yeh hargiz na soche ke Allah Ta'ala ne har cheez pehle se likh rakhi hai, lihaaza ab amal kar ke kuchh faaida nahin balke zaroori tadbeerein ikhtiyaar karna chaahiye, is liye ke nek logon ke liye neki ke raaste khol diye jaate hain aur un raaston par chalna un ke liye aasaan hota hai aur badbakht logon ke liye buraai ke raaste khol diye jaate hain aur un raaston par chalna un ke liye aasaan hota hai. 📓 [Sahih Bukhaari: 4949] *(7)* Pehli ummatein taqdeer ke baare mein bahes wa hujjat karne

Aqaaid Part 20

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 20 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Taqdeer  ✾* ❧ Saare aalam mein jo kuchh huwa, hota hai aur aainda hoga, tamaam cheezon ke baare mein Allah Ta'ala ko pehle se ilm hai. Allah Ta'ala ke isi ilm ko "Taqdeer" kehte hain. 📓[Sharahul Aqeedatit Tahawiyya Libne Abil Iz: 1/272] *❧ Taqdeer ke baare mein chand zaroori Aqaaid:* *(1)* Duniya mein jo kuchh bhi huwa ya hota hai ya hoga, un sab cheezon ko Allah Ta’ala ne duniya banaane se pehle hi Lauh-e-Mahfooz mein likh diya tha. 📓[Sahih Muslim: 6919] *(2)* Jin cheezon ka hona muqaddar hai unhein koi rok nahin sakta. 📓[Abu Daawood: 4700] *(3)* Achche bure haalaat sab Allah Ta'ala hi ki taraf se hain. 📓[Sura-e-Nisa: 78] *(4)* Agar achche haalaat pesh aayein to fakhr wa guroor na kare balke Allah Ta'ala ka shukr ada karein. Agar bure haalaat pesh aay

Aqaaid Part 19

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 19 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Aakhirat  ✾* ❧ Qayaamat ki alaamaton ka ek ek kar ke paaya jaana aur us ke baad Qayaamat ka aana yaqeeni hai. Tamaam murdon ka dobaara zinda ho kar Maidaan-e-Hashr mein jama hona, hisaab wa kitaab hona, meezaan ka qaaim hona aur aamaal naamon ka wazan kiya jaana bilkul sach hai. Pul Siraat se guzarna, us ka baal se ziyaada baareek aur talwaar se ziyaada tez hona, Imaan waalon ka us par tezi se guzar jaana aur kaafiron ka Jahannam mein gir jaana haqeeqat hai. Jannat aur us mein tarah tarah ki nematein aur Dozakh aur us mein hone waali takleefein barhaq hain. 📓[Sharahul Aqeedatit Tahawiyya Li Saaleh bin Abdul Azeez: 1/429; Attauheed Linnnaashiati wal mubtadieen Li Abdil Azeez bin Muhammad: 1/68] ❧ Aakhirat ke baare mein Qur'aan wa Hadees mein jin jin baaton ko zikr kiya gaya hai un tam

Aqaaid Part 18

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 18 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Aakhirat  ✾* ❧ "Yaum-e-Aakhirat" ke maana baad mein aane waale din ke hain, duniya ki zindagi ke baad Aakhirat ki zindagi shuru hogi, jo kabhi khatm na hogi; us zindagi ko Islaami Shareeat mein "Aakhirat" kehte hain. 📓 [Tafseer Ibne Kaseer: 1/59] ❧ Duniya imtehaan ki jagah hai, duniya mein banda jo bhi achche ya bure aamaal karta hai, un ka Aakhirat mein use poora poora badla diya jaayega. ❧ Qur'aan mein hai: Chunaanche jis ne zarra baraabar koi achchaai ki hogi, woh use dekhega aurjis ne zarra baraabar koi buraai ki hogi, woh use dekhega. 📓 [Sura-e-Zilzaal: 7,8] ❧ Aakhirat par Imaan laana Imaan ka ek ahem juzw hai, Aakhirat par Imaan laane ka matlab ye hai ke is duniya ki zindagi ke baad ek aur zindagi hai, wahaan insaan ko is duniya mein kiye huwe bure aamaa

Aqaaid Part 17

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 17 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *✾  Nabi aur Rasool  ✾* ❧ Nabiyon mein sab se pehle Hazrat Aadam Alaihissalam aur sab se aakhir mein hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ tashreef laaye. Chand mashhoor Nabiyon ke naam ye hain: Hazrat Aadam Alaihissalam, Hazrat Nooh Alaihissalam, Hazrat Idrees Alaihissalam, Hazrat Ibrahim Alaihissalam, Hazrat Ismail Alaihissalam, Hazrat Yaqoob Alaihissalam, Hazrat Yusuf Alaihissalam, Hazrat Moosa Alaihissalam, Hazrat Dawood Alaihissalam, Hazrat Sulaimaan Alaihissalam, Hazrat Isa Alaihissalam aur Hazrat Muhammad ﷺ. 📓[Sura-e-Ambiya: 48,85; Sharahul Aqaaidun Nasafiyya: 135 meem] ❧ Ambiyaa-e-Kiraam aur Rasoolon ki taadaad ke muta'alliq sahi aqeeda ye hai ke un ki koi khaas taadaad muqarrar na ki jaaye, balke ye aqeeda rakha jaaye ke duniya mein Allah Ta'ala ke bahot se Nabi aur Rasool aa

Aqaaid Part 16

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 16 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *✾  Nabi aur Rasool  ✾* *❧ Nabi aur Rasool ke baare mein zaroori aqeede :* *(6)* Jo un ke paigaam ko maanta hai, use sawaab aur Jannat ki khush khabri sunaate hain aur jo nahin maanta, use Allah Ta'ala ke azaab aur Dozakh se daraate hain. 📓[Sura-e-Saba : 28] *(7)* Woh khud bhi achche kaam karte aur bure kaamon se bachte hain aur doosron ko bhi us ka hukm karte hain. 📓[Al Irshaad Ila Sahihul Eteqaad: 1/169] *(8)* Allah Ta'ala unhein Moajaze ata karta hai. 📓[Sharahul Aqaaidun Nasafiyya: 134 meem] *(9)* Allah unhein gaib ki bahot si baatein bataata hai. 📓[Sura-e-Aal-e-Imraan: 179; Sura-e-Jin: 26,27] *(10)* Tamaam Nabi aur Rasool insaan the aur sab mard the koi aurat Nabi aur Rasool nahin hui. 📓[Sura-e-Yusuf: 109] *(11)* Nubuwwat wa Risaalat Allah Ta'ala ka diya huwa atiya hai

Aqaaid Part 15

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 15 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅           *✾  Nabi aur Rasool  ✾* *❧ Nabi aur Rasool ke baare mein zaroori aqeede :* *(1)* Allah Ta'ala ne Nabi aur Rasool har mulk mein aur har qaum ki taraf bheje. 📓[Sura-e-Yunus: 47; Sura-e-Faatir: 24] *(2)* Nabi aur Rasool sachche hote hain, kabhi jhoot nahin bolte, buri aadaton, bure kaamon aur chhote bade gunaahon se paak hote hain. 📓[Sharahul Aqaaidun Nasafiyya: 139 meem] *(3)* Allah Ta'ala unhein apne bandon tak ahkaam pohnchaane ke liye muqarrar karta hai. 📓[Sura-e-A’araaf: 62; Sura-e-Ahzaab: 39] *(4)* Woh Allah Ta'ala ke ahkaam bandon tak pohnchaane mein kotaahi aur kami ziyaadati nahin karte aur Allah Ta'ala ke ahkaam pohnchaane mein un se koi bhool aur galti nahin hoti hai. 📓[Sura-e-Yunus: 15; Sura-e-Najm: 2-4] *(5)* Woh Allah Ta'ala ke ahkaam pohnchaane par bandon s

Aqaaid Part 14

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 14 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅          *✾  Nabi aur Rasool  ✾* ❧ Risaalat wa nubuwwat ke maana hain Allah Ta'ala ka paigaam logon tak ponhchaana. Allah Ta'ala logon tak apna paigaam ponhchaane ke liye apne khaas bandon ko duniya mein bhejte hain, us paigaam ko ponhchane waalon ko "Nabi aur Rasool" kehte hain. ❧ Nabiyon ka duniya mein tashreef laana duniya waalon ke liye rahmat aur bahot badi nemat hai, agar Allah Ta'ala nubuwwat wa risaalat ka silsila jaari na farmaata, to insaan na to apne paida karne waale ko pehchaan sakta, na use apni zindagi ke maqsad ka pata chalta, na use bhale bure ki tameez hoti aur na ek doosre ke huqooq ko pehchaan sakta. Allah Ta'ala ka bada ehsaan hai ke us ne nubuwwat wa risaalat ka silsila jaari kar ke duniya mein rehne ka sahi tareeqa bata diya. 📓[Sura-e-Aal-e-Imraan: 164; Sharhu

Aqaaid Part 13

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 13 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅        *✾ Aasmaani Kitaabein ✾* *❧ Tamaam aasmaani kitaabon ke baare mein musalmaanon ka yeh Aqeeda hona chaahiye:* *(1)* Tamaam aasmaani kitaabein insaanon ki rahnumaai ke liye naazil hui hain, un sab mein hidaayat ki baatein hain, waaz wa naseehat se bhare mazaameen hain, amr-o-nahi aur Jannat ke inaamaat aur Jahannam ki sazaaon par mushtamil baatein hain aur apne apne zamaane mein un ke ahkaamaat par amal karne mein bandon ki najaat hoti hai, Qur'aan Majeed ke naazil hone ke baad pichhli tamaam kitaabein aur shareeatein mansookh ho gaeen, ab Qayaamat tak sirf Qur'aan Majeed par hi amal karne mein bandon ki najaat hai. 📓[Sura-e-Maaida: 44,49; Muslim: 6378; Sharhul Aqaaidun Nasafiyyah: 142, 143 Meem] *(2)* Pichhli aasmaani kitaabon mein se bahot si kitaabein to aaj maujood nahin hain aur jo kitaabe

Aqaaid Part 12

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 12 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅        *✾ Aasmaani Kitaabein ✾* ❧ Allah Ta'ala ne bahot si chhoti badi kitaabein Hazrat Jibraeel Alaihissalam ke zariye bahot se paigambaron par utaareen, taake woh apni apni ummaton ko Deen ki baatein batlaaein, chhoti kitaabon ko "Saheefe" aur badi kitaabon ko "Kitaab" kehte hain. Allah Ta'ala ki bheji hui kitaabon mein se 4 kitaabein mash'hoor hain : (1) Taurait (2) Zaboor (3) Injeel (4) Qur'aan Majeed. 📓 [Sahi Ibne Hibbaan: 361] *(1)* Taurait Hazrat Moosa Alaihissalam par naazil hui. 📓 [Sahih Muslim: 4536] *(2)* Zaboor Hazrat Dawood Alaihissalam par naazil hui. 📓 [Sura-e-Nisa: 163] *(3)* Injeel Hazrat Isa Alaihissalam par naazil hui. 📓 [Sura-e-Hadeed: 27] *(4)* Qur'aan Majeed Hazrat Muhammad ﷺ par naazil huwa. 📓 [Sura-e-Dahar: 23] ❧ In 4 kitaabon k

Aqaaid Part 11

✯✰✮        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮         *Bismillahirrahmanirrahim*        ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮                  *```✧ Aqaaid ✧```*                  *❆  Part - 11 ❆* ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅                 *✾  Farishte  ✾* ❧ In 4 mash'hoor farishton ke alaawa aur farishton ka zikr bhi Qur'aan wa Hadees mein kiya gaya hai, jin mein se chand farishton ke kaam zikr kiye jaate hain: *(1)* 4 farishte jin ko "Kiraaman Kaatibeen" kehte hain jin mein se 2 din mein aur 2 raat mein har ek bande ke saath hote hain, ek daayein kandhe par jo us ki neki likhta hai, doosra baayein kandhe par jo us ki buraai likhta hai. 📓[Sura-e-Infitaar: 11,12 ; Durre Mansoor: 8/440] *(2)* Kuchh farishte aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne par muqarrar hain, jo aage peechhe se us ki hifaazat karte hain, jin ko "Hafazah" kaha jaata hai. 📓[Sura-e-An'aam: 61 ; Sura-e-Ra'ad: 11] *(3)* Kuchh farishte insaan ke mar jaane ke baad qabr mein us se sawaal karne par muqarrar hain, jin