Aqaaid Part 43

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 43 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

                   *​✾  ​Hashr  ✾*

*❧ Qur'aan mein hai:* Mujrim yeh chaahega ke us din ke azaab se chhootne ke liye apne bete fidye mein dede aur apni biwi aur apna bhaai aur apna woh khaandaan jo use panaah deta tha aur zameen ke saare ke saare baashinde phir (un sab ko fidye mein de kar) apne aap ko bachaale (lekin) aisa hargiz nahin ho sakega! woh to ek bhadakti hui aag hai jo khaal utaar legi.

📓[Sura-e-Ma'arij: 11-16]

❧ Us din sooraj zameen se bahot qareeb hoga, us ki garmi ki wajah se dimaag khaolne lagega aur zabaan taalu se lag jaayegi. Kaafir wa mushrik aur naafarmaan log paseene mein doobe huwe honge, jin ke gunah jis qadr ziyaada honge, woh usi qadr paseene mein doobe huwe honge, is kasrat se paseena niklega ke 70 gaz zameen mein jazb hojaayega, jab zameen paseena na pi sakegi to paseena oopar chedhega phir kisi ke takhnon tak pahonch raha hoga, kisi ke ghutnon tak, kisi ki kamar tak aur koi poora paseene mein dooba huwa hoga, log bhook aur pyaas ki shiddat se pareshaan honge magar us din Allah Ta'ala nek bandon ko apne Arsh ke saaye mein jagah inaayat farmaayega aur un ke liye khaane peene ka bhi intezaam farmaayega.

📓[Bukhaari: 6532 ; Muslim: 7385 ; Bukhaari: 660]

  [[..Next - 44, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Comments

Popular posts from this blog

Aqaaid Part 69

Aqaaid Part 65

Aqaaid Part 71