Aqaaid Part 46

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 46 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

                 *​✾  ​Jannat  ✾*

❧ Jannat nihaayat hi aaraam ki jagah hai, woh imaan waalon ke liye tayyaar ki gai hai, us mein har tarah ki nematein hongi jo kabhi khatm na hongi, sone chaandi ki eeton ke mahlaat honge, doodh, shahad, saaf-o-shaffaaf paani aur behtareen qism ki paakizah sharaab ki nehrein hongi, har qism ke phal phool honge, baazaar honge jin mein Jannati ek doosre se mulaaqaat kareinge, un ke dilon mein bugz, keena aur hasad jaisi buri aadatein nahin raheingi, woh bhaai bhaai ban kar raheinge, woh us mein khaaeinge, piyeinge, unhein peshaab wa paakhaane ki haajat na hogi, ek khushgawaar dakaar aur mushk jaisa khushboodaar paseena aayega jis se meda khaali aur halka hojaayega, jo log ek baar Jannat mein jaaeinge phir wahaan se kabhi na nikaale jaaeinge, woh us mein hamesha hamesha raheinge.

*❧ Qur‘aan mein hai:* Allah ne momin mardon aur momin aurton se waada kiya hai aise baagaat ka jin ke neeche nehrein behti hongi, jin mein woh hamesha raheinge aur aise paakeeza makaanaat ka jo sadaabahaar baagaat mein honge. Aur Allah ki taraf se khushnoodi to sab se badi cheez hai (jo Jannat waalon ko naseeb hongi) yahi to zabardast kaamiyaabi hai.

📓[Sura-e-Tauba: 72]

  [[..Next - 47, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Comments

Popular posts from this blog

Aqaaid Part 69

Aqaaid Part 65

Aqaaid Part 71