Aqaaid Part 47

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 47 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

                 *​✾  ​Jannat  ✾*

❧ Jannat mein aisi aisi nematein hongi jin ko na kisi aankh ne dekha, na kisi kaan ne suna aur na kisi insaan ke dil mein un ka khayaal guzra, un nematon ke alaawa khuda ke fazl-o-karam se Jannatiyon ko 2 aisi nematein mileingi jo duniya mein kisi insaan ko haasil nahin hosakteen, ek nemat to yeh hai ke wahaan Jannati ki har khwaahish aur tamanna poori hogi aur doosri jo sab se badi nemat hai woh yeh ke Jannatiyon ko Allah Ta'ala ka deedaar naseeb hoga.

📓[Bukhaari: 3244; Sura-e-Zukhruf: 71 ; Sura-e-Yunus: 26]

❧ Jab tak Allah Ta’ala ki rehmat na ho Mahaz apne amal se koi Jannat mein nahin jaayega, albatta Allah Ta'ala imaan waalon ko apni rehmat se Jannat mein daakhil farma kar un ke aamaal ke etebaar se Jannat mein darjaat ata farmaaeinge, jin mein sab se aalaa darja Jannatul Firdaus hai.

❧ Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke Jannat abhi maujood hai aur hamesha ke liye rahegi, is ke mutaalliq Qur'aan-o-Hadees mein bataai hui tamaam baatein sachchi hain.

📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Ibne Abil Iz: 1/420 ; Bukhaari: 2790]

  [[..Next - 48, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​ goo.gl/SB46QM
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

Comments

Popular posts from this blog

Aqaaid Part 69

Aqaaid Part 65

Aqaaid Part 71